Blogger: SEO Friendly Image Kaise Banaye for More Traffic

Agar aap apne Blog par Traffic lana chate hai to sirf web search nahi Image Search par bhi focus kare.. Agar aap Image ka sahi SEO karege to blog par Image ke jariye bhi acha khasa traffic laya ja sakte hai.

Image Blog post me bhut jaruri hoti hai, or Image SEO karna On Page SEO ka ek main point hai.. jiski madad se post rank karti hai.

Advertisements

Mere Hisab se Post me jaan jab hi dalti hai jab usme badiya image ho.. mene kahi pada tha ki ek image 1000 sabd ke barabar hoti hai, or ye muje sahi bhi lagta hai. khene ka matlab hai kam se badiya image jarur add kare apni post me.. jo baat ham 1000 sabd likh kar samja payege wo kaam ek image kardegi.

Free Stock Image website ki list yaha share ki hai, jaha se free me image download kar sakte hai. or agar aap Google se Copyright Free Image Download karna chate hi to uska tarika bhi share kiya huaa hai.

Blogger SEO Friendly Image Kaise Banaye for More Traffic

To Chaliye Dekhte hai Kya kya karna hai Blog me Post me use karne ke liye.

Page Contents

SEO Friendly Image Kaise Banaye

SEO ka matlab hai search engine friendly.. matlab jab koi search kare to hamari image bhi search (Google Image Search) me aaye..

Google Khali Image se samaj nahi pata ki image me kya hai or ye kis bare me hai, isliye jab koi search karte hai to hamari image nahi aati, uske liye ye kuch Chije hai.. jinka istmal karke ham apni SEO Friendly Image bana sakte hai.

SEO Friendly Post likhne ke liye bhi Image SEO bhut jaruri hai.

1# Image ko Upload karne ke Phele Rename kare

image ko rename kare upload karne ke phele example dekhe hmh pe

Sabse badi galti jo satarting me karte hai wo ye ki jo image hai usko remane nahi karte.. jese kahi se koi photo khichi to uska naam kuch number me hota hai (232247248). isse dikkat ye hai ki Google ye nahi pata kar sakta ki image me kya hai, par agar uska naam hoga to uska pata chal jayega ki ye kiski image hai.

Ye bhi Pade: Kaise Badaye Apne Blog ki Traffic

2# Image me ALT tag add kare

Jesa ki mene bataya Google Image ko achi se read nahi kar sakta ki ye image kis bare me hai.. to jab ham post me upload karte hai to usme alt tag add karke ham batate hai ki is image me kya hai ya fir ye kis bare me hai. ALT Tag ek HTML Code hota hai.

ALT Tag add karne ke liye steps follow kare

Step 1: apni Image ko Blogger ke Post Editor me upload kare.

Step 2: Image par click kare.. uske baad kuch option aayege. Properties par click kare

image ki property add kare blogger me seo ke liye

Step 3: ALT Tag me apni Image ke bare me likhe or ok ki button daba kar save karde.

alt tag add kare image me search ke liye

Title Text me bhi likhe apni image ka naam.. isse agar koi image par mouse layega to uska naam popup hoga.

3# Image me Caption Use kare

image me caption add karke image ke bare me bataye ki isme kya hai in hindi

Image me aap Caption bhi add kar sakte hai, iski madad se jo visitor aapke blog par aayega wo bh isko pad kar samaj sakta hai ki ye image kis bare me hai. Ye SEO ke liye jaruri nahi hai itna par agar kisi image ke bare me batana hai to Paragraph likhne se acha Caption me likhe..

Post Description bhi jaruri hai Blogger SEO ke liye

4# Image ko Kis Format me Use kare

image formate me size ka difference kitna rhata hai

Image ka format hai usse direct to koi fark nahi padta image search me par ye bhi jaruri hai.. Image ka size jitna kam ho sakte utna kam hona chaiye Q ki agar jada size ki image hogi to hamari site load hone me time legi. Loading ke karan hamari site ki rank par fark padta hai.. Image ke jo mainly sabse jada use hone wale format hai Png, Jpg, Gip.. Aap koi bhi use kare par dekhe sabse kam kis format ki memory rhati hai. Mere hisab se JPG.

Image Size kaise kam kare uski jankari yaha hai, jisme aap site ki madad se free me image ko compress kar sakte hai bina uski quality kam kare.

Agar aap Image ka format computer me change karna chate hai to aap Format Factory Software ka use kar sakte hai.

Note: WordPress me bhi same steps follow karna hai SEO Friendly Image ke liye :)

***

To Ab Image jab bhi upload kare in bato ka jarur diyaan rakhe SEO Friendly Image ke liye.. :)

Agar aapka abhi bhi Image SEO se sambandit koi sabal hai to aap comment karke jarur puche, or ye jankari kesi lagi comment karke batana naa bhule.. :)

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

135 thoughts on “Blogger: SEO Friendly Image Kaise Banaye for More Traffic”

  1. sir image ka size kitna hona chahiye .
    meri site par 8 img no atribute bta rha hai tool mene compress bhi kar diya phir bhi vaise hi bta rha hai ,us image ko hataye to phle wali rank h ,koi help

    Reply
  2. रोहित भाई बहुत बहुत धन्यवाद् इस जानकारी के लिए
    मै अक्सर लोगो के ब्लॉग में देखता था और वो फोटो के नीचे कुछ लिखे रहते है लेकिन उस को कुछ नहीं समझता था
    लेकिन आज मुझे पता चला की वो लोग किस लिए उसको लिखते है
    आज से मै भी अपने फोटो ये सारी चीजे करना शुरु कर दी है
    लेकिन जो मेरी पुरानी पोस्ट है उसमे भी ये सब करने पर कुछ फायदा होगा की नहीं

    Reply
  3. रोहित जी !!
    आपने image को optimised करने का बहुत ही सरल और बेहतरीन तरीका बताया है। ब्लॉग को बनाना तो आसान होता है पर उसे सही तरीके से seo optimised करना मुश्किल है, पर आपके tips हमारे लिए बहुत useful हैं रोहित जी!

    Reply
  4. Rohit bhai Aap apne site par kaun sa template aur theme use kar rahe hain please mujhe bataae.

    Main kaise is trh apne site pr look de paunga.
    please Suggest

    Reply
  5. Sir mai image ko jab edit karta hu uska quality bahut hi badh jata hai aur page loading me bahut dikkat aata hai koi tarika batayen jo kam size me acchi photo dikhe

    Reply
  6. Sir mene indian history par blog banaya ha kya aap use blog par visit karke usme jo naye changes karne chiye aur usko seo friendly banane ke liye kuch bata sakte ha

    Reply
  7. जानकारी बेहद रोचक और अच्छी थी आपकी, मैं आने वाले समय मे भी ऐसे ही पोस्ट की कामना करता हु !

    Reply
  8. Pahle to aapko batana chahunga ki aapke post ka rank kam hogaya hai aisa mujhe laga shayad post change ho gaye ho

    1.mere blog dilkewords .com ke image size publish karne ke baad jyada ho jata hai
    2.purani post ki image edit kar sakte hai
    3.purani post me internal link laga sakte hai

    Reply
  9. This information was very helpful. I’ll perform the same methodology for my business to grow. Thanks for sharing the information.

    Reply
  10. Thanks Rohit Bhai.
    Main Apni Website me PNG Image use kar rha tha tabhi mere Blog ki Speed nhi badh rhi thi.
    Thanks For the Awesome Information to increase my Blog Speed.

    Reply
  11. sir please ye batayiye ki mujhe apni blogger site pe user profile konsi rakhni chahiye, blogger ya phir google + profile. abhi tak mene google+ profile hi salect kar rakhi hai. lekin confuse hu ki adsense ke liye kya thik rahega. please reply me sir.

    Reply
    • Adsense me usse koi fark nahi padta.. aap koi bhi use kar sakte ho.. wese blogger jada log profile me use nahi karte to aap google+ usekare taki koi aapko follow kare to google+ par kare..

      Reply
    • Adsense me usse koi fark nahi padta.. aap koi bhi use kar sakte ho.. wese blogger jada log profile me use nahi karte to aap google+ usekare taki koi aapko follow kare to google+ par kare.. .

      Reply
  12. Rohit sir me (blogspot) platform use krta hun….Koi aisi trick hai kya jissay blog ke sabhi post ki image ko ek hi size ka kiya ja sake…Hogi to bataiye sir aapka likha ek ek post kaam aata hain

    Reply
  13. Jab se blogging shuru ki hain tab se 2-3 blogs aaise he jo mai lagbhag har roz padta hu aur unme se ek blog rohit bhai aapka hain. Hindimehelp ne mujay 0$ se aaj Monthly 150$ tak ki success di hain. Shukriya aapka

    Reply