Internet ki duniya itni badi hai ki ham Onilne Internet ke baare me jitne Sikhe utna kam hai. Hamne pichle post me jana tha ki ham kaise Online Apne Mobile ko kahi se bhi Recharge kar sakte hai. Internet ne hamari jindgi kitni aasan kar di hai aap soch bhi nahi sakte, aaj internet ki madad se Exam ke result ham online dek sakte hai, Online Apne Dosto se jude rha sakte hai, Online Paise kama sakte hai or bhi bhut kuch….
Abhi jo sabse jada Popular hai bo hai Online Shopping Sites. Q ki Shopping sites ki madad se ham ghar bhete kuch bhi kharid sakte hai or hamara kharida huaa samaan hamare diye huee Address par aa jata hai or hame kahi jaane ki jarurat bhi nahi padti.
Page Contents
Kya Kya hona Chaiye Online Shopping ke liye
Agar aap Online kisi site se kuch samaan kharidna chate ho to ye kuch chije hai jo aapke pass honi chaiye.
- Shoping Site par account banane ke liye ek Email ID
- Product ko lene ke liye Money(paisa)
- Debit/Credit Card/Net Banking payment karne ke liye
- Product ko recive karne ke liye aapka Address
Online Shoping karne me Faida hai ya Nuksaan
Agar aapko kuch lena hai to Aap kisi Dukaan par jaoge ya Online Bhi le sakte ho. Kya faida hai online shopping me ye aap in points ko pad kar samaj jaoge.
- Online Shopping karne ke liya aapko kahi jane ki jarurat nahi hai, Aap ghar se bhi Shopping kar sakte ho.
- Jis Product ko aap Online lete ho bo aapke ghar par hi aata hai par Kisi Dukaan se lene ke liye aapko khud dukaan tak jana padta hai.
- Agar Online kuch Samaan liya or agar usme kuch kharabhi hai to aap usko return(bapas) kar sakte ho 30 day ke andar. par kisi dukaan par bapas karne me kya dikkat hoti hai bo aapko bhi pata hoga.
- Online Shopping ke liye kahi jaane ki jarurat nahi isliye Time ki bachat.
- Ache or Sasta samaan lene ke liye Alag-Alag dukaan par jaane ki jarurat nahi.
- Online kharidne par Kam Daam (Price) me samaan mil jata hai q ki usme Dukaan daar ka commission juda nahi hota hai.
- Nuksan ye hai ki agar ham achi site se saman na le to nakli saman bhi aa sakta hai.
Online shopping kaise kare Step by Step in Hindi
Online Shoping ki bhut Sites hai par aaj me unme se ek jiska Naam sayad aapne suna hoga Flipkart. Me aapko bataoga ki aap kaise Online Shopping kar sakte hai Flipkart par. Online Shopping karne ke liye Aap meri steps ko follow karo.
Step 1: Sabse phele aapko Shoping ki site par jana hoga. Aap direct niche diye search baar me search karo jo aapko lena hai. Agar aap direct is box me search karke samaan lete ho to aapko 20% ka discount bhi milega.
Mobile ke liye Memory Card kharide 8GB sirf 200 Rs me to yaha Click kare.
Is Time Agar Aap Mobile use kar rahe ho to Aap Flipkart ka App Yaha se Download kare or 20% discount paye apni pheli kharidi par. Aap ke Pass Ye Aap jarur hona chaiye Agar aap Smart Phone use karte ho to :)
Step 2: Ab aapko jo chij kharidni hai aap us page par phuch gaye ho. Samaan ko Kharidne ke liye BUY NOW ki Button par click karo
Step 3: Aap jese hi Buy Now par click karoge ek naya page khulega.
Apna Email ID Daale fir Continue ki button par click kare.
Step 4:
Ab aapko Password daalna hai 2 baar. Aapko ye password yaad rakhna hai q ki isse ki madad se ham baad me flipkart ki site par login kar payege.
*Agar aapka Phele se Flipkart par account hai to aapko uska password daalna hai
Step 5: Ab aapko Apna Address Daalna hai jaha par aap is product ko receive karna chate ho.
Is Form me apni sahi- sahi jaankari bhare. fir Save & Continue ki button par click kare
Step 6:
Ab agar aap chaho to apne samaan ko Gift me pack kara sakte ho. Ek baar apne product ko achi se dekh le or uska total ammount bhi dekh le. fir Continue par click kare
Step 7: Ab Aapko Payment Method ko select karke Payment karni hai.
Aap dekh sakte ho kya kya option hai payment karne ke liye.
Chaliye ham COD Select kar lete hai.
COD ka matlab hai Cash On Delivery, Matlab jab aapke pass product aayega to aap Usko paise Cash doge. *Ye option saare products par nahi hota hai.
Kuch Common Sabaal Online Shoping ke
Que. Hamara Kharida huaa Samaan hame kaise milta hai?
Ans. Aapka Kharida huaa samaan aapke diye huee Address par 7 dino me aa jata hai.
Que. Kya ham Dekh sakte hai Hamara Samaan kaha tak aaya hai or hame kab milega?
Ans. Haa aap dekh sakte ho. Jab aap order conform karoge to aapke email par message aayega. usme Track My Order ki ek link hogi, Aap us link par click kar ke dekh sakte ho. ya fir aap flipkart ki site par login karke my order me dekh sakte ho.
Que. Kya Kharide huee Samaan ko Bapas kar sakte hai?
Ans. Haa, Agar aapke pass jo samaan aaya hai usme kuch gadbad hai. ya jesa aapne order kiya tha vesa nahi hai to aap usko 30 din ke andar bapas kar sakte ho.
Bapas karne ke liye aapko Apne Email or Password se Flipkart me login karna padega uske baad my order me jao.
Aap Flipkart ke App se Mobile se hi samaan kharid sakte ho, Apne Product ki postion dekh sakte ho ki bo abhi kaha tak aaya hai, Jo product hai usme kuch kharabhi hai to App ki madad se bapas bhi kar sakte ho. Flipkart App ko yaha par click karke Download kare.
Agar Aap Abhi Computer use kar rahe ho to App par 20% descount paane ke liye is Link se hi App ko Download kare. Link ko apne mobile ke browser me khole
www.HindiMeHelp.com/FlipkartApp
ya is QR Code ko Apne Mobile se Scan kare
Chaliye ek baar Revision kar lete hai, hamne kya Sikha Online Shoping ke baare me
Online Shopping kya hai, Uske Faide or Nuksaan, Kaise karte hai online shopping or bhi bhut kuch. Agar aapke dimaag me koi bhi Sabaal ho to usko sirf dimaag me mat rhane dijeye. Comment karke muje bataiye, me aapki Help karne ki puri kosis karuga.
Agar aap bhi is Online Duniya me apni ek alag phechaan banani hai to aapko aage to badna hoga. janiye kaise ham apni free website bana sakte hai.
Aapko ye jaankari kesi lage ye batana naa bhule or Agar aap Internet se related koi bhi jaankari chate ho to aap muje bataiye.
Nice article
how can I improve my business so that I can reach more people?
I want to create a blog for my website. can you suggest to me?
Sir ख़राब सामान वापस कैसे करे ये बताइये ये तो नही बताया आपने
My name arbin
Hello sir Hume Janna heki
Flipkart pe cumpplyan kaise Kare
sir mughe mobile purchase karna or mere pas debit card hai cerdit nahi to me kese purchase kar sakti hu koi process bataye sir, thanks
bahut hi achha post rohit bhai aapne pure details me bataya hai
Thanks Bhai..
Sir a sob Jo companya ha Jo shipping karta ha is k kiya franchise LA sakta ha ?
Amazon se refund nhi aaraha he 12 june ko kuch magaya tha pr material accha nhi hone ki vajha se vapas kr diya tha 13 june ko hi. pr abhi tak bhi refund nhi aa raha he.
bank details galat batate he jb ki detail sahi he ifsc coad bhi sahi 20 se bhi jyafa baar cross cheak kr liya kya kre plz bataeye..
plz bataeye kya kre
Sir esi koi shopping site jisse Saman Ghar par aane ke Baad pese le
Aap COD karke kisi bhi site me maga sakte hai.
Sir esi koi shopping site kisses Saman Ghar par aane ke Baad pese le
sir maine kuch mahine pehle online shopping kiya tha aur payment debit se Kiya per product ghr nhi aa paya aur wapas ho Gaya to main kaise Apne debit se Kate hue paise wapas lun
aapne jis site se saman order kiya tha.. aap unke costumer care call karke bataye.. wo aapke account me dalege..
sir appne cod ke bare mai btaya
par hume kai product nhi milte h
to kya aap btayenge ki bank se payment kaise kre
kyuki dar lgta h ki paise khi aur to nhi cle gye
aap reputaed site se karege to aapko darne ki jarurat nahi hai..
sir amazon ma save 400 ka ky matab ha ke 400rs or dana hoga
Nahi.. 400₹ bach rahe hai save ka matlab
sir amazon ma save 400 ka ky matab ha ke 400rs or dana hoga
Sir mai 2din hua ek mobile kharide hu.ledkin baterry problem ha.kaise service center tak jau sub.flipcart se order kea tha
Aap flipkart ke service center call karo