Hello Blogger, Ye Post un Bloggers ke liye hai jinka pehle se blog hai or agar aap unme se hai jo blog banane ka soch rahe hai to bhi ye post aapko jarur puri read karna chahiye.
Mene apni pichli post me blogging ke fayde or nuksan kya kya hai unke baare me bataya tha, par ek or chij hai jiske ware me agar sahi jankari naa ho to aap blogging me fail ho sakte hai.. Mere kehne ka kya matlab kya hai aap aage read karte rahiye samaj jayege ;)
Jo mere sath hota tha wo hi me manta hu aapke sath bhi hota hoga, wo ye ki bhut war aisa ho jata hai ki hame samajh nahi aata ho ki post kis topic par likhe.. Mind me aata hoga yaar ye to sab pehle se likha huaa hai ya kuch idea aise aate hoge jinke upar aap pehle se post likh chuke hai to ab aese me kya kare. or iss karan aap koi post nahi likh pate hoge..
Regular Post karna kitna jaruri hai uski detail Post bhi me phele share kar chuka hu, aapko wo bhi jarur read karna chahiye..
Mujhe bahut logo ne ye sawal pucha bhi hai ki ham Post ke liye idea kaha se laye q ki sabhi post to pehle se likhi hui hai, ya me idea kaha se laya hu.. to aaj me aapko iss post ke aapki iss dikkat ko solve karne wala hu.. agar aapne iss post ko read kiya to iske baad aapko kabhi ye nahi sochna padega ki yaar ab kis topic par post likhuu, q ki aapke paas post likhne ke liye topics ki bharmar hogi..
Blogging me Fail hone ka ye sabse bada karan hai, Q ki samaj hi nahi aata kis topic par post likhe or wo post dalna band kar dete hai. to chaliye is problem se kaise nipta jaye jante hai.
Page Contents
Apne Blog ke liye Post Ideas lane ke tarike
Sabse important agar aap ek blogger hai to aapke mobile me important app to hona hi chahiye, unme se ek hai Google Keep.. ye mera favorite app hai .. Jab bhi mujhe koi Idea aata hai, me usko note kar leta hu taki bhulu naa.. Aap Kisi bhi App ka use kare ya fir aap koi dairy ka bhi use kar sakte hai.. main hai ki jab bhi aapko koi idea aaye aap usko turant kahi likh kar rakh le..
Ab Chaliye dekh lete hai Post Ideas kaha se le sakte hai New Blog Post likhne ke liye:
1# Hamesa Bilkul basic se soche
kehne ka matlab hai agar aap kisi bhi topic par likhte hai to bilkul basic se soche to aap dekhe ki bhut si aisi cheez hai jo logo ko nahi pata hoti.. Aapne jab new start kiya hoga to aapne dekha hoga ki aapko kya kya nahi pata tha or kaise kaise aapne sikha.. kehne ka matlab hai jo dikkat aapko aai ya jo aapko nahi aata tha, issi trha or bhi log hai hai jinhe wo nahi aata hai.
Jese aap HMH.pe dekhte hoge agar aap regular visitor hai to ki kuch post bhut hi jada basic hoti hai.. par agar dekha jaye to jisko bilkul bhi jankari nahi hai wo uske liye bhut jada useful sabit hoti hai.. jese example : EMail Account kaise Banaye
Aapka Blog kisi bhi topic par ho, aap kisi bhi topic par soche post likhne ke liye bilkul basic se soche.. aapke mind me bhut se ideas aa jayege.
2# Apne Visitor se Connection banaye
Aap Post likhte hoge, or aap ki site par visitor bhi aate honge.. aap New Post ka Idea generate karne ke liye apne visitor ki help le sakte hai.. jese mene iss post me li..
mujse pucha gaya ki ham post ke liye idea kaha se laye to me uska jawab iss post ke jariye de raha hu..
Tikh issi trha aap apne visitor ke sabalo ke jabab post likh kar de sakte hai, aap unse feedback le sakte hai..
Har post me aap apne visitor se puche ki unko aapki ye jankari kesi lagi, taki wo unke sabal or sujab jo bhi hai wo aapse share kare.
Aap EMail ke jariye bhi contant kar sakte hai..
Note: agar aapko HMH.pe ke liye koi sujab ya koi sabal hai to aap muje email kar sakte hai Admin@RohitMewada.com
3# Idea le Other Blog se
Iss Point me sabse pehle clear kardu, mera ye matlab nahi hai ki kisi ne pehle se kisi topic par post likhi hai to aap bhi ussi topic par post likhe.. ye galti bhut se blogger karte hai or fir uske hath kuch nahi lagta or naa visitor aate hai.
Aapka jis topic par blog hai, usse related or bhi blog to hoge hi, jinko aap read bhi karte hoge.. to jab aap koi bhi blog par post read kare or aapke mind me kuch aaye jo usme or add hona chaiye tha to wo aap apne blog me daal sakte hai..
Jese example aap meri iss post ko lelo.. ab me jo point bata raha hu, ho sakta hai inke alawa bhi koi or points ho jinki madad se post ke liye idea laye ja sakte ho.. to aap kya kar sakte hai,
“aap post likhe ki Blog ke liye Post Idea kaise laye uski jankari aap ko HMH.pe ki iss post me milegi (meri iss post ki link apne post me de), par waha aapko kuch or point hai jo nahi milege jinko me apni post me cover karne wala hu..”
Aesa karne se kya hoga jo dusri site hai jaha se aapne post ka idea liya, unse aapka acha rista bhi banega..
Kabhi kisi ki copy naa kare, copy karne ke nuksan kya kya hai wo me phele hi bata chuka hu.
4# Apni Purani Post se Idea le
Aapne apne blog par jo pehle post dali hai aap dekhe, unme agar or bhi kuch add kiya ja sakta hai ya jo aapne apni purani post me bataya hai uske aage bhi kuch hai jo aap bata sakte hai, to aap unke upar new post likh sakte hai.
jese mene ek post likhi Blog kaise banate hai to uske baad agli post mene likhi blog me post kaise karte hai, Template kaise upload karte hai …. iss tarah aap apni ek series bana sakte hai or basic se start karke high level tak ja sakte hai.
5# Post Likhne ka ek Format banaye
Format banane se matlab hai, aap jis tarah ki post likhte hai aap unka bhi ek format banale, ki kis din muje kis type ki post karni hai..
Jese Aapko hafte me kitni post karni hai ya daily ek post karni hai.. Kis din kis topic par post karni hai.. iss trha aap ek format bana lijiye to aapko jada sochna nahi padega or turant aapke mind me new post ke liye idea aa jayega.
6# Timer ka Use kare
Bhut war aesa bhi ho jata hai, mind bilkul blank ho jata hai or kuch bhi mind me nahi aata to aesa hone par aap timer ka use kar sakte hai.
Aap Apne Mobile me 20 minutes ka timer lagaye or ek copy or pen le.. or jitni bhi topic aapke mind me aate hai wo sab likhte jaye. kosis kare ki jada se jada topic aap likh sake jinpar post likhi ja sakti ho.. Topic Important hai ya nahi wo na soche.
aesa karne par aap dekhege ki aapke pass 20 minute me bhut sare ache ideas aa jayenge new badiya post likhne ke liye.
7# Forum or Community ka use kare
Online bhut se aese forums hai jaha log apne sawal puchte hai, jese Quora.com, Yahoo answer.. Aap Simple aap ka jis category me interest hai aap usko search kariye to aap dekhe bahut logo ne apne sawal puche hui hai..
Aap facebook ki bhi madad le sakte hai, jese mene ek FB Group banaya hai jaha log apne sawal bhi puchte hai or ek dusre ki help bhi karte hai.. Agar aapne abhi tak Hindi Me Help Facebook Group join nahi kiya to aapko abhi karna chahiye.
Conclusion:
To Dosto ab aapko clear ho gaya hoga ki aap post ke idea kaha se le sakte hai or kaise apne idea ko kahi likh kar rakh sakte hai taki aap bhule naa..
Yaha Ek baat or aap jitne bhi post ke liye idea likhe, mera ek suggestion hai aap jo topic aapko lage ki ye jada important hai usko pehle likhe.
To ab aapki wari mene to aapko mere tarika bata diye, me kaise post ke liye New Ideas lata hu.. Aap bhi to minded hai or mujhe pata hai aapke bhi iss tarah ke or bhi tarike hoge new post ke idea generate karne ke aap wo comment me mujhe jarur bataye.. n aapko meri ye Tips kesi lagi New Post Ideas Generate karne ki wo bhi bataye.
at Last, Happy Blogging :)
Aapne bahut achhe se smjaya hai thanks sir
sir very useful article.
sir aapke is post se mujhe apne new article ke liye topic mila hai.
thanks, sir ji for useful post.
Nice artical sir ji this is to good
Nice Article 👍
Bhut achhi post spaical thankyou for you
kya bat hai bahut he badiya article hai rohit sir.
Sir Mere Blog Mai Kya Koi Kami Hai Ak Baar Check Karke Batatye. Isko Complite Maine Banaya Hai Uski Design Bhi Maine Ki Hai.
Kya Post Likhne Mai Galti Ki He Jo Visitor Nahi Aa Rahe Aap Ak Baat Mere Post Ko Open Karke Bataye Kya Kami Hai. Mai Aapke Jawab Ka Wait Karunga.
Useful information. Thanks 😊
Usefull jankari di hai aapne shayd ye mere liye aur new blogger ke boht kam aane wali hai
Hi Rohit sir meri bhi ek blog per mai article ke liye topic nahi soch pata hu but umeed hai ki ye article padkar meri ye problem solve ho jayegi . Aur sove meri blog visit karke usme koi problem hai to batae
aap meri in tips ko follow kare.. aapko kabhi article ke liye topics ki kami nahi hogi..
Superb
Bahut acche Bhai sabhi bloggers ke liye important hai.. Thanks
sir me apne blog me fully English me post likhna chahta hun PR meri English acchi nhi hai toh kya main sir aisa kar Sakta hun ki main apne blog me pehle puri Hindi alphabet se puri post likh kar post kar dun or fhir me usse google translator widget ki madd se usse English me change kar ke usse pura copy kar ke main phir usse apne blog me post kar dunga or pehle wale ko delete kar dunga it is possible sir me janta hun ki kisi or ke blog se copy karna galat hai PR main apne blog se khud copy kar ke post ka raha hun ye toh galat nhi hoga na
bahut hi badhiya post likha hai sir ap ne savi bloggers ko ye post helpfull hoga
Thanks :)
Namaste Rohit ji. Sir aap mujhe google keyword planner ke alava 1-2 aisi site ke naam bataye. Yaha keyword search ke sath monthly search volume, ctr aur compitition malum pade. jo use karne me saral ho.
Ahrif, samrush
wow sir great aap itni time tak kaha they ya to muje be jankari hain kih aap ke koe problem hai but aap ko blogging se roka tha aisa work?
great post Mr Rohit Mewada,
thanks,me bhi Blogging ke bhare me write karta hu,lekin already blogging ke bhare me kafi sari post likhi ja chuki hai.Aap ne bhi bahut achi post write ki hai.
yaha par mera sawal hai,ki blogging ke liye new idea khaha se laye?
thanks.
Brother agar aap post me mene jo tarike bataye hai unpar gor karege to aapko iska jabab mil jayega.. Aap apne aas pass dekhege to aapko bhut se new ideas mol jayege..
very nice post sir
Thanks
hello sir
kya aap koi mujhe free wordpress them
jo responsive ho aur fast loading ke sathseo friendly ho
Trey this – http://themegrill.com/themes/colormag/
Bohut achchha jankari. new blogger paresan hote hai kis topic par post likhe.
bohut achchha jankari hai. kis topic related post kare ye new blogger ko bohut paresani hota hai.
nice post sir
Sir blog ke homepage me 2 category ko alg alg kese kare jese ki sport site me filter hoti hai
Very nice post
sir mera ek blog hai waha par mai apne man se post dalta hu phir bhi wo Google me search karne se nhi aata….consolo wagera sab add hai…kya problem ho sakta hai
Agar aapki site new hai to thoda time lagta hai new site index hone me..
lekin Rohit sir….kuchh kuchh post to aate hai search engine me….ek karan aur hai jo post ko me mai images ke sath published karta hu wo post hamesh error aata hai aur aisa hi post search engine me nahi aata….without images wala post jaldi aa jata hai aisa kyun..
Nahi image add karne se naa aaye ye karan nahi ho sakta. Par aap image ka seo bhi kare. Mene uski post dali hai..
plzz kaun sa post hai link de..
Seo image Search kare.. Site par aapko post mil jayegi
Sir Google Trends & twitter Trends Kaisa rahega, Kya Isse Bhi hum Idea Le sakte hai
Haa bilkul.. Ye to bhut hi badiya hai..
बहुत काम की पोस्ट आपने शेयर की हे -हर एक ब्लॉगर के लिए
Thanks brother
Thanks for sharing.Aaj aapne ek aise topic ke bare me jankari share ki hai jise lekar sach me mai pareshan raha karta tha.Thank u.
Hope ab nahi hoge aap pareshan ?
Comment:maine sir hindi main help blogger bnaya h mujhe uske aage
http://www.hindimainhelp.com or Google search main lana h tell me sir plz
sabse main to aapne jo naam select kiya hai wo bhut hi galat kiya hai.. aapne HindiMeHelp ke brand name ko copy kiya hai..
Badiya domain kaise select kare aap meri wo wali post read kare.. aapko samaj aa jayega aapne kya galti ki hai..
Comment:sir maine hindi main help website bnai h plzz muje btaye ab main kya kru …vo Google search main nhi aayii plz tell me
websmaster me add kare.. or ho sake to aap apni site ka domain badal le.. q ki aap agar HMH se compitation karege to aapki site ko search me aane me bhut paresani hogi..
First Time Aapka Blog Visit Kar Rha Hu Aur Aapka Blog Bahut Hi Badhiya Hai. Blogger Aur Internet Users Ke Liye Bahut Kuch Hai Is Blog Par Aur Aapki Post Bhi Kaafi Informative Hai. :) Keep It Up Bro.
Mera Bhi Ek Blog Hai, VickyPedia.in
Ek Baar Aap Visit Kar Ke Btaye Ki Mere Blog Me Kahi Koi Sudhar Karna Chahiye Ya Nahi?
Waiting For Your Response ?
acha blog banaya hai aapne.. mene visit kiya..
Great and helpful post for the newbies it’s really difficult to get an idea for daily posts thanks for sharing
Thanks Pradeep
बहुत ही अच्छा article है। ……… very useful ……… Thanks for sharing this article!! :)
Thanks
thank you sir bahut की कम की जानकारी थैंक यू for share this?
Thanks
Rohit bhai mere adsense account me ab tak $56 balance hai.. agar me iss month 21 se pehle $100 thershold reach karun toh mujhe 21 ko payment milega kya? please help me
Nahi, 30 ke phele 100 ho jab next month ki 21 ko payment milti hai.
Bhai mko online businesses krna h so plzz help me I m new… phli baar dekhra hun ye websites bhaai bohat msst h kssm se pure Internet me aisa kch nhi h bro jaise aap help kre ho bohat accha job h bhaai bohat accha thanqqu bro bhai mko business krna h so plz help me kisi v tarah se…plz bro bhai 7060589101 my wtsp num plz mko add krlo bro plz plz plz kch aur v janana hoga mko..plz plz bhai
Thanqqqu so much..
Rohit bhai mere adsense account me ab tak $56 balance hai.. agar me iss month 21 se pehle $100 thershold reach karun toh mujhe 21 ko payment milega kya? please help me
Very nice .. Bahut achi jaankari di aapne sir .. Thank-you very much sir…
Khup Chan..
Acchi Jaankari
bro kya aap bta skate h ki soratemplates or themexpose ki har post main wo khud kuchh keywords # lagakar comment kyo karte hai.
Sorry, Aapke sabal ko samaj nai paya aap kya puch rahe hai..
Rohit bro aap to bahut Earning karte ho. Lakin mere pass ek aasa plan hai jisse apki Earning double ho jayegi lakin. Apke Reader bhi bahut Earning kar sakke ge. Maine apko Facebook par message kiya hai. Che kare aur reply bhi kare. Sab mile bahut Earning karege
Hiii sir nice post
Thanks Mukul ji
Thanks
Bhut hi achhi post share ki Real main Ye Problem sabhi Blogger ke sath hoti hai. or iski jankari koi bhi blog par achhi nhi par aapne bhut achhe idea diye is post main mera manna hai ye post new or old sabhi bloggers ko padni chahiye.
Rohit bhai aapse ek Q. puchhna hai?
Mene kuchb din pahle ek blog bnaya jiska name Golden Hindi hai. or usme domain name add kiye bhi kafi din ho gye or search console main url or sitemap dono add kar par jab Golden Hindi search karta hu google par to first page par khi bhi mera blog show nhi hota h.
please help me bro !
kya kru jisse mera blog search main aasani se aaye.
blog address http:// http://www.GoldenHindi .org hai.
Thanks!
Wo isliye q ki uss naam se kuch websites hai jo high authority hai.. Aap high quality post dale.. Aapko thodi mehnat karni padegi.. Jab koi search karta hoga to Google golden ko lagta hai iska hindi meaning Search kar rahe hai..
Aap regular post kare or backlink banaye..
Rohit ji Namaskar,
is baar ka post waki hum jaise new bloger ke liye jaruri tha. ya baat sahi hai ki jab blog likho to ye samajh nahi ata ki naya kya likhe ghum fir ke wahi topic hota hai jo sabhi likh chuke hote hai kuch hat ke likhana ho to kafi muskil ho jata hai aur aksar isi wajah se log bloging band kar dete hai.. per apka margdarshan acha hai is per amal karke log kuch behater kar sakte hai.
Rohit ji ek sawal tha apse ki apni site me Privacy Policy aur Disclaimer kaise banaya jata hai aur wordpress ki site me footer me ise add kaise karte hai… bloging se related kafi sawal hai kya apse email ke jariye puch sakta hu to pls bataye.
Ye page kaise banaye uske ware me mene post dali hai.. Or footer me add karna ke liye temple ki footer menu me aad kay sakte hai..
N thanks aapke comment ke liye..