Bahut se log blogging ke bare me ye sochte hai ki blogging ke dwara woh bahut hi jaldi aur kam time me amir ho jayege. lekin aisi baat nahi hai jiss tarah aap kisi dusare work me menahat karte hai ussi prakar ki menhat aapko blogging me bhi karni padhti hai.
Aapko ye jaan kar bahut dukh hoga ki blogging start karne wale logo me se 99% log blogging me fail ho jate hai aur only 1% log blogging me success hote hai. blogging ke bare me ye ek kadwa such jisko aap mane yaa naa mane lekin ye such hai ki only 1% log blogging me success hote hai.
aaj hum jiss topic par baat karege woh topic bahut hi interesting hai aur iss topic ko maine bahut soch smjh kar select kiya hai. yadi aap ek blogger hai aur aap blogging ko long time tak karna chate hai to aapko kuch chizo ka dhyaan rakhna hoga. aaj hum isi baat ko janege ki long term blogging me success hone ke liye kin kin chizo ko follow karna hoga. chalo dosto dekhte hai ki woh kon kon si chize hai jisko humko long term blogging me follow karna hai.
Page Contents
Long Term Blogging me Success hone ke 17 Tips
1: Apne Interest ke Topic par hi Blog Banaye
Bhut se Blogger starting me jo galti karte hai wo ye ki wo dusre blog ko dekh kar ussi topic par apna blog bana lete hai ki ye itna popular hai to ham bhi aese hi popular ho jayege.. par ye unki sabse pheli or sabse badi galti hoti hai.
Starting me jos rhata hai or Post bhi dalte hai par kuch time baad ye samaj nahi aata ki kis topic par post dale or aage kya kare or is trha dihre dhire ek din aesa aata hai ki wo hamesa ke liye blogging ko Good Bye bol dete hai.
Aap Apna Blog kisi bhi Topic par bana sakte hai aesa jaruri nahi hai ki jo phele se hai ussi par aap apna blog banaye, Sabse Phele Apna Interest ka Pata kare kis chij me hai or fir ye soche ki me usme kya kar sakta hu jisse logo ki help ho or jiski logo ko jarurat bhi ho.
- Blogging ke 99 Topics ki List jinpar blog banaya ja sakta hai
- Apna Interest kaise Pata kare uski Tips
2: Hamesa Kuch na Kuch Nay Sikhte rahe
Aapne Blog Bana liya jisme aapka Interest hai to ye bhut achi baat hai, Q ki agar aapka Interest hai us chij me to aap hamesa kuch na kuch naya sikhne ki kosis karte rahege..
Sikhna Band to Success Khatam
Agar aapne Sikhna Band kar diya to ek din aesa aayega jab aapke pass kuch hoga hi nahi apne blog par dalne ko.. To hamesa kuch na kuch sikhte rahe or usko apne tarike se use karte rahe..
Aapka Blog jis topic par hai aap uske har topic ki nai jankari aapko pata hona chaiye, uske liye jitni bhi jagha hai jaha se uski jankari mil sakti ho, wo use kare.
Abhi Sikhe:
- Web Designing & Developing me Career Kaise Banaye (Puri Jankari)
- Sikhe Photoshop Basic Sirf 10 Minutes Me
- Online Article likh kar paise kaise kamaye
3: Blogging ko Time De
Blogging me sabse important ye hai ki aapko apne upar dhairy rakhna hoga. blogging ek din ka job nahi hai. blogging me aapko samarpan, dhairy aur haosale ki jarurt padti hai.
Agar aapka blog Dhire Dhire aage badh raah hai to iska ye mtlab nahi ki aap blogging me fail ho rahe hai balki iska ye mtlab hai ki aap blogging me long term success ke liye jaa rahe hai.
Yadi aapne apna blog start kar diya aur 1-2 month tak aapke blog par traffic nahi aa raha hai to aapko ghbarane ke jarurt nahi hai balki aapko apne kaam par aur focus karne ki jarurt hai kyoki long term blogging me success hone ke liye time to legega hi isliye aapko apna dhairy banaye rakhna hoga.
Ye Jarur Pade: Blogging Ke Starting 30 Din Tak Kya Kya Karna Chahiye
4: Dusre se Compare Naa Kare
Yaha me aapko ek baat batana chahuga ki duniya me koi bhi aese 2 insaan nahi hai jiski finger prints milti ho, tikh ussi trha har insan ka alag alag talent hota hai, alag alag chamta hoti ahi or har ek ki alag alag limit hoti hai.
To agar aap apne aapko kisi dusre blogger se compare karege jo phele se success hai or bhut time se blogging kar raha hai to aapko lagega aap ye nahi kar payege or is trha aap blogging ko choadne ki disa me badne lagege.
Aap ye dekhe ki saamne wali ne kitne time tak kitni mhanat ki jab wo is mukam par hai to aapko bhi mhanat to karni padegi..
koi bhi ek Raat me aamir nahi ban sakta, agar koi ban bhi jata hai to wo aamiri bhi sirf ek raat ki hi rhati hai, jab uski nind khulti hai to wo wahi hota hai jaha wo tha.
Ye sab khane ka mera sirf itna matlab hai ki aapka jo talent hai usko aap or improve kare or logo ke saamne usko rakhe.. aapko dhire dhire hi sahi par Success jarur milegi.
5: Apni Har Chij ko Track kare blogging me
Agar aapne Apna Blog Bana liya hai or aap uspar kaam bhi kar rahe hai or bhut mhanat bhi kar rahe hai par uske sath sath aapko apni blog ki puri gati bidhiyo par bhi najar rakhni hai.
Aap dekhe ki aapke blog ke visitor kaha se aa raha hi, Kitne Visitor aa rahe hai, wo kya padna jada pasand karte hai, kis chij me ao aapki site open karte hai, kha ke hai wo visitor, kitni der wo aapki site ko open karke rakhte hai, site ka bounce rate kya hai.. aesi or bhi bhut si chije hai jinpar aapko najar rakhni hai or dekhte rhana hai ki kya acha ho raha hai or kya bura.. Aap ye Puri Jankari Google Analytics ki madad se le sakte hai apni site ki.
Apne Blog ke Comments ko bhi dekhe usse bhi aapko apne visitor ke interest ke ware or acha idea ho jayega ki unko kesi jankari chaiye or unko kya pasand hai or kya nahi wo bhi pata chal jayega.
6: Blog ka Design or Speed par bhi Dhiyan de
Ye Point bhi Important hai, Hame apne blog ki design or uski loading speed par diyan dena bhut jaruri hai..
Agar hamare blog ki design achi nahi hogi to visitor uspar double se aana pasand nahi karege jo hamare blog ke liye bilkul bhi acha nahi hai… Is liye Ec acha Template use kare apne blog me jo Mobile or Computer dono me achi se khulta ho.
Loading Speed bhut bhut maine rakhti hai, Q ki agar hamari site jada time legi open hone me to koi usko open hone ka intjar nahi karega or site ko open hone se phele hi band kar dega.. is trha se to hamari mhanat hi barbad ho sakti hai.. Is liye Blogging ki design or uski Speed par jarur dhiyan de..
Ye Kuch Post:
- Blogger Template Ko Mobile Friendly Kaise Banaye
- Blogger par Template ko Upload Kaise Karte Hai
- Blogger Free Template Download ke 6 Badiya Website
- 250+ Badiya Blogger SEO Friendly or Mobile Friendly Template List
- Blog ki Loading Speed Time Ko Kaise Kam Kare Puri Jankari
7: Hamesa Badiya Contant Dale
wese to is Point me kuch safai dene ki jarurat nahi hai muje ki Q acha Contant dale.. Ye to sabko pata hai sabko achi chij hi pasand aati hai to agar aapka jo contant (Post) wo achi hogi to log usko pasand karege or aapke blog par war war aayege..
Jo Bhi Contant dale, sabse phele uski puri jankari khud lele.. kahi aesa naa ho aapko adhuri jankari ho or uski baja se kuch galat chij share karde.. isse aapko aage chal kar bhari nuksan ho sakta hai.
Ye Kuch Chije jo aapko Post karte same dhiyan me rakhna hai:
- SEO Friendly ho
- User Friendly ho
- Jiski Logo ko jarurat ho wo chij ho usme
- Post Fromate acha ho
Ye Pade:
- 4 Tips Productive Professional Writers ke liye
- SEO Se Blog Post ko Search Engine Ke Top Par Kaise Laye
- Badiya Blog Content Kaise Likhe Google+Visitor ke liye
8: Evergreen Content Likhe aur usko Update kare
Evergreen Content ka mtlab fresh content jo naya ho acha ho or kahi dusri jagha naa ho, jiski jarurat lambe time tak padti rahe.
Evergreen Content long term blogging me success karane me ek aham bhumika nibhate hai. To Jitne bhi aese topics hai aapke blog ke topic se sambandit uspar badiya post jarur likhe.
Ham Simple Sabdo me kha sakte hai ki agar aapke blog par aese post hai jo hamesa kaam aani hai to hamesa us post par traffic aati rahegi…
Agar aap badiya badiya ever green post karte rahege to aapko long time blog me usko bhut hi bada faida hone wala hai.. to ab se is baat ka bhi dhiyan rakhe ki ever Green contant bhi bhut jaruri hai.
- Badiya Blog Content Kaise Likhe Google+Visitor ke liye
- Blog Post Title Likhne Ke 6 Badiya Tips Hindi Main
- New Post Likhne ke Liye Post Ideas kaha se laye
9: Earning par Focus kare par Phele Visitor par
Blog Banane ka Jada tar logo ka Maksad hota hai usse paise kamana, Par bhut se blogger yaha bhut badi galti kar dete hai jo uske Blogging ko Good Bye khane ka karan banti hai.
Hota hai ye ki jo New Blogger hai wo Blog banaye to der nahi hui or paise dekhne lagte hai ki meri itni earning hogi, ye hoga wo hoga..
Paisa Sirf Uske Pass Aata Hai Jo Us Paise ke Layak ho.
Par asliyat me aapko batata hu Paise aapke pass jab hi aayege jab aap paise ke layak hoge.. Agar aapke Blog par bhut jada Traffic aati hai to hi aap acha Paisa Kama sakte ho usse..
Ab agar aap Apne Traffic ko Badane ki bajaye sirf apni earning dekhege to usse earning me koi badotri to hogi nahi, balki aapka Blogging se Interest hatta jayega.. Isliye Earning par bhi dhiyan de par usse phele un chijo par dhiyan de jinse aapki earning honi hai.
Ye Post Pade aapko jarur inse Help Milegi:
- Apne Naye Blog me Traffic Kaise Badaye
- Facebook Ke Dwara Apne Blog ki Traffic Kaise Badaye?
- New Blog Post ko Promote karne ke 15 Tarike
- New Blogger Blog Se Paise Kamane Me Kyo Fail Hota Hai
- 5 Karan Adsense Se Paisa Kamane Me Q Fail Hote Hai Log
10: Regular Hokar Kaam kare
Regular rhana bhi bhut jaruri hai agar aapko blogging me long time tak tikhe rhana hai to.
Regular se ye matlab hai ki aap bhale do din me ek post dale ya 4 din me par ye fix rakhe.. Isse ye faida hai ki jin logo ko aapki post pasand aati hai unko pata rahega ki aaj bhi kuch New Post aai hogi or fir wo aapke blog ko open karke dekhege..
- Regular Post karne se kya faida hai uski or jankari detail me pane ke liye yaha click kare
11: Social Sites Par Active rahe
Agar Aapka Blog hai or aapko usko logo tak phuchana hai to aapko Social Media ki madad leni padegi or uske liye aapko inpar bhi active rhana padega.
Aap apne blog ke liye Facebook Page, Twitter Page, Google Plus Page Banaye or jab bhi koi New Post kare apne blog par in sab par usko share kare.. jisse jin bhi logo ne usko Like ya Follow kiya hoga unko aapki New Post ki Jankari Mil Jayegi.
Hindi Me Help ka FB Group Jarur Join Kare
12: SEO ke ware me Pata hona bhi jaruri
SEO ka Matlab Search Engine Optimization. SEO me ham apne blog or uski post ko is trha se likhte hai or set karte hai jiski baja se wo search me aasani se aa jaye or jab koi search kare Google me to hamaro post SEPR (Search Engine Page Result) par hamari Post dikhe or wo uspar click karke hamare blog par aaye..
Agar hamara Blog search me hi nahi aayega to ham kitni bhi acha content likhe wo sahi logo tak phuch hi nahi payega or hamari mhanat ka mahe pura fal nahi mil payega.. jo Long Term blogging ke hisab se bilkul bhi acha nahi hai.
SEO ki Bhut ki Post mene HMH Par Share ki hai jo Aap yaha dekh sakte hai, Ye Kuch SEO Ki Posts:
- SEO Se Blog Post ko Search Engine Ke Top Par Kaise Laye
- On-Page SEO: Page Ko Perfect Optimize Kare
- Off-Page Seo Optimization Se Blog Traffic Kaise Badhaye
- Website Backlink kya hai or SEO ke liye kitni jaruri hai
- Seo Friendly Blog Post Likhne ke 5 badiya Tarike
13: Sirf Apna Matlab Naa Dekhe
Agar aapka Blog hai to aap sirf apna faida naa dekhe ki aapke visitor bade, aapki income bade.. Me ye nahi kha rhaha aap apne ware me naa soche par agar aapko lambe time tak blogging me bane rhana hai to aapko apne sath sath dusre logo ke ware me bhi sochna padega..
Aap Apne Visitor ko kaise achi se achi subhida de sakte hai uske ware me soche or wo kare.. Dusre Blog par jab bhi koi post pade to post ko padne ke baad ek acha comment kare jarur kare.
Agar kisi site ki koi Post Pasand aati hai to ye nahi ki usko apni khud ki site par dale, balkul us Post ko Share kare Social Network par.. Isse aapka us website ke owner ke sath ache relationship to banega hi sath sath aapke jo visitor hai agar unko bhi usse faida hoga to wo bhi aapki ijjat karege.
14: Kabhi kisi ki Copy Naa Kare
Ye Galti bhi bhut log kar dete hai or fir unko iska uska parinaam bhugatna bhi padta hai.
Kuch Blogger kya karte hai ki wo dekhte hai ki is site par ye jada popular hai to usko thoda bhut change karke apni site par daal dete hai.. par aesa karne se ho sakta hai unko thode time ke liye faioda ho jaye, par lambe time ke hisab se wo bhut badi galti kar rahe hai..
Agar ham kahi se copy karke koi post dalege to kon hoga jo hamare blog par aayega original contant ko choadd kar.. or Google Search Engine bhi din wa din smart hota ja raha hai to copy karne walo ke hath akhri me nirasa hi hath lagni hai.
Ye Jarur Pade: Copy Karne ke Faide or Niksan jaanne ke liye yaha click kare
15: Apna Aur Blog Ka Ek Network Banaye
Network Banane se khane ka matlab dusre logo se apna acha relationship banaye, Dusre logo ki Help kare taki wo bhi aapki help kar sake.
Acha Network banane ke liye Hamesa Dusro ki Help kare, or kabhi bhi koi galat chij naa bataye kisi ko bhi..
Hamesa Blog par agar koi comment aaye to usko acha sa reply kare, or agar koi question hai to uska jabab jarur de.. isse jisne comment kiya hai usko to help milegi hi sath sath dusre jab us comment ko padege to wo bhi aapko pasand karne loagege..
Is Trha se Bana sakte hai dusre logo ke sath ache Relation:
- Hamesa acha Contant dale jisse logo ki help ho
- Comments ka reply jarur de
- Dusre Blogger ko support kare
- Social Media par Active rahe
- kabhi kisi ke ware me kuch galat naa soche
Logo ke sath judav se aapko bhut hi faida hone wala hai.. Udharan ke liye aap Hindi Me Help ko hi dekh lijiye.. Hindi Me Help par koi bhi galat chij share nahi ki jati or jitna bhi possible hai sabki achi se help ki jati hai, or ye ussi ka karan hai ki log Hindi Me Help ko itna pasand karte hai.
16: Kabhi Bhi Jaldi Baaji Naa Kare
Yadi aapke blog par traffic nahi aa raha hai aur aap sortcut tarika dhudh rahe hai blog par traffic lane ke liye to ye aapke liye sahi rasta nahi hai.
Aapko ek baat ko dhyaan me rakhna hoga ki sortcut traike se aap lambe time tak blogging nahi kar sakte hai. blogging me success hone ke liye aapko blogging ke rule ko follow karna cahiye aur aapko blogging ke rule follow karne me time to lagega lekin iske sath sath aapko iska badiya result bhi milega.
Yadi aap blogging me apna career banana cahate hai to aapko kabhi bhi jaldi baaji nahi karna hoga. Kabhi bhi dusre ki success dekh kar bheraye nahi, balki or acha kaam kare to aapko bhi success jarur milegi.
17: Blog Ke Backup aur security par bhi dyaan de
Hamne Blogging me kya karna hai or kaise karna hai wo to sab dekh liya, Par unke sath sath hame apne blog ki security par bhi dhiyan dena bhut hi jaruri hai.. Nahi to Pata chale kisi choti si galti ki baja se ham apni puri mhanat ko gava bethe.
Hamesa Apne Blog ka Backup le kar rakhe, Taki agar kabhi hamare sath galti se koi gadbad ho jaye to ham usko aasani se tikh kar sake.
Apni Blog ki security par bhi dhiyaan dena bhut jaruri hai.. warna koi hamare blog ke sath kuch galat bhi kar sakta hai… wese agar ham kisi ka galat nahi karte to koi hamara galat karega to nahi.. Par jitna hamare hath me hai security ka usko hame dhiyan dena bhut jaruri hai.
Blogger Blog ki security kaise badaye or kaise hack hone se bachaye uski jankari mene phele hi share ki hai aapko wo padni chaiye. or aapne jo blogger me email use kiya hai usme Google Gmail 2 Step Verification Enable jarur kare security double karne ke liye.
WordPress ki security kaise badaye uski detail me jankari aapko mil jayegi, iske sath sath aap HMH Hack hui thi uska kya karan tha wo bhi read kar sakte hai taki aap wo galti naa kare.
Ek baat or jo me aapse khena chahuga ki ham koi bhi kaam kare usme ham jab hi acha kaam kar sakte hai jab ham us kaam ke liye motivate ho.. To Agar aapko Motivate hona hai to aap yaha click karke Articles Pad sakte hai.
Ye Kuch Tips thi jinko agar aap follow kare to aap Long Term Blogging me ek acha mukam pa sakte hai or success ho sakte hai.. Apni ek alag phechan bana sakte hai.
kabhi bhi risk lene se naa dare aur apna jyada time sochne me naa west kare. jiss bhi bare me aap sochte hai uske bare me turant action le.
Muje Ummid hai aapko ye Article Jarur pasand aaya hoga or isme mene jo jankari aap logo ke sath share ki hai usse aapko log term blogging me jarur faida hoga.. Aapko ye jankari kesi lagi or aap kya sochte hai long term Blogging me success hone ke liye wo comment me jarur bataye.. Muje khusi hogi aapke bichar jaan kar.
Nice article bro keep it up!
Bhut achi jankari h sir, mughe aapka blog bhut lga, thanks .
very nice post, its very helpfull for my blog
Wow! Thank you sir it’s helping me too.
Welcome Brother..
Bahut hi achii jankri bhai…..
Rohit acchi post hai , lekin aap old post republiah kar rhe hain , pls aap kuch new post karen
brother.. abhi hmh ko me update kar raha hu.. isliye jo out of date post hai unko update kar raha hu.. jald hi new post bhi karuga.. abhi time manage nahi ho pa raha hai.
Such A Greatful Post….
Sir jab aapki site ka name hi hindi me help hai to aap hindi me kyu nhj likhte ,kya iska bhi google adsense se kuch fark padta hai jiski vajh se aap is trh se likhte hain.
BAHUT HE BADIYA ARTICLE SHARE KIYA HAI SIR.
Rohit bhai kafi accha likha ha apne good work so far…
Bahut achchhi jankari Bro naye blogger ke liye ye jankari bahut hi labhdayak hai Bro apke blog ya website ke visitor bloger jyada hote hai ya other log kyo ki maximum post apki bloger se sambandith hoti hai is liye mare man me ye jigyasa utpann hui
Meri ek problem hai please solve kardo
1.maine sitemap google m submit kiya tha but url index bhi hui 3 din go gye.
2.google console m structured data m error show Ho rhi hai jaise missing author, missing update
M kya karu
index hone me time lagta hai.. or jo error hai usko aap tikh kare..
aapne agar author tag add nahi kiya hai to add kare..
Waw rohit bhai great share
Bohot achhi jankari diye bro
thanks Brother, Bahut achhi post dale hai aapne. सच में कॉपी पेस्ट करने को लॉन्ग टाइम में इसका खामियाजा भुगतना पड़ता है. very nice tips to success in blogging. Thanks for sharing.
Thanks Avinash ji :)
sir बहुत अच्छी जानकारी दी। मेरा ब्लॉग motivational story, biography etc pr है और इसके लिए क्या मे किसी book या अखबार से पोस्ट ले सकता हू?
haa aap le sakte hai.. par dhiyan rakhe agar kuch aesa content ho to credit bhi jarur de,..
hi nice artical and thanks for tips
Thanks
Aapke content humesha motivate karte hai. Aapke bataye Sabhi points every blogger ke liye useful hai. Thanks for sharing such a great information.
@Regards
Sagar_Chauhan
Thansk Sagar Bhai.. keep visiting..
Bro supportmyindia.com par aapke blog ke content ko copy karke publish kiya ja rha hai. pls check!
Sir, Mai godaddy ka hosting use krta hun pr
ab hostgator ka hosting use krna chahta hun, to kaise sift kru?
Aap updraft plugin se aasani se kar sakte hai.. main aiste ko arkne se phele ek war try jarur karke dekh le.. youtube par iske tutorial mil jayege..
bahut hi helpful post hai. Aapne sahi kaha hame sirf aapne bare mein nahi balki dusro ke bare mein bhi sochna chahiye or koi bhi post padhe or pasand aaye toh comment jaroor karna chahiye.
Bilkul sahi
Really bahut acchi baate btayi hai apne!
Thanks
hi sir नमस्कार मेरे google map submission में kuchh problem जो की एक error fault है, वो वेबसाइट एक php program पर बनाई गयी है, उसमे error fix problem है, submission pending दिखा रहा है .
submission pending koi error nahi hai.. aap wait kare ho jayega.
Waah Rohit bhai ,
Bahut hi acche points likhe hai mujhe yah post bahut acchi lgi . Meri request hai aap aesi hi posts is subject pr aur likhe
Thanks or meri aapse reuest hai aap apna real name use kare.. nahi to aapke comment spam khelayege. or aage se approve nahi ho payege..
aapne bahut hi acche trike se sabhi points ko explain kiya hai .. muje lagta hai har blogger ko meri tarah is post se bahut kuch sikhne ko mila hoga~
bilkul.. mene iss post me kuch puri kosis ki kuch aesa share karu jisse bloggers ki help ho.
huy Rohit
apki ye information new Blogger hi nahi balki old Blogger ke liye bhi useful hai.
thanks for sharing
Thanks Brother..
Rohit bro maine apka yah article bhut ache se pura read kiya hai. apne sari tips cover kar liye hai aur vo sabhi tips bahut important hai har blogger ke liye.
Thanks Brother.. Hope isse help milegi bloggers ko..
bhai maine apni site ki sub domain create ki hai , kya mujhe use search console aur analytics me add karna padega…?
sub domain agar ek alag site ai to aapko unme alag add karna hi padega..
sir blog to bna lenge pr jaise apne apna blog design kiya hai vaise kaise kre is bare me btaye pleas
jaise ek heading likha hai usko click krne pr orijinal page khulta hai ye blog me kaisekre
ye tempalte me aata hai yadi aapko design krni nh aati to aap kisi web designer ko hire kar le
Great information about blogging. very nice Sir mujhe bataye keh apne apni site ko konsi platform pe banali hay wordpress ya koi aur?
Aur please ye bhi bataye keh Kon konsi programing languages ka istemal kar k banaya hay apni ye site?
Please bataye
Thanks… rohit sir
ap ne jo tipes diye wo long time blogging
ke liye bahut bahut important hai
and nice artical
Thanks for Comment Mark
Hello Rohit,
Aapne Jo Tips Bataye hai wo real me Hone chahiye, actually ye tips nhi inhe rule maan kar chalna chahiye hame, tabhi ham aage badh kar inko follow karenge….
Long term Blogging is not easy iske liye Planning hona bahot jaruri hai or hame ek Schedule bhi bnana chahiye hamare article publish karne ka..or blogging me sbse jaruri bat ye hai ke Regular kuch na kuch seekhte raho…
Agar Ham blogging field me enter kar rahe hai or isme apna career bnana chahte hai to hame daily jada se jada reading karna chahiye online …or trends ke requirment k hisab se hame aage improve bhi karna chahiye apne blog or apne aap ko…..
well bina mehnat ke kuchh nhi hota….
Thanks and nice article
Regrads
—-Deepak Shrivastav—–
Ye bilkul sahi khaa aapne.. Ye sab bhut jaruri hai blogging me
Rohit ji me aapki ye tips apne blog me jaroor follow karunga. meri ek hi galti hai me ye sochne me samay gawa deta hu ki kahi mere dwara ki gayi post copyright to nahi hai. mujhe copyright-copyright padh- padh ke dar lagne laga hai ki dhokhe se copyright post na likha jaye.
Aare ye kya baat hai yaar.. Aesa kese ho sakta hai.. Free fokat ka time barbad karte ho aap ye soch kar..
Aapne blogging ke bare me bilkul sahit tathy likhe hain rohit ji, badhiya post :)
Thanks Prakash ji
bhai maine appne bkog me domain joda hain par ab vah blog khulta hi nahi.
Kholte hain to vah godaddy ke site par chal jate hai.please help me.
Bidvesiter kitne visitors pr kine paisa deti hain
aapne code sahi se add to kiya hai naa.. agar aapne meri steps ko sahi se follo kiya hoga to aesa kuch hona to nahi chiaye..
bhai maine appne bkog me domain joda hain par ab vah blog khulta hi nahi.
Kholte hain to vah godaddy ke site par chal jate hai.please help me.
Bidvesiter kitne visitors pr kine paisa deti hain.
Mera website ka nam kaisa hain achha han seo ke najar se
ads ke aesa kuch fix nahi hota hai .. or uske ware me koi nahi bata sakta..
bhai maine appne bkog me domain joda hain par ab vah blog khulta hi nahi.
Kholte hain to vah godaddy ke site par chal jate hai.please help me.
Bidvesiter kitne visitors pr kine paisa deti hain.
Thanks Bro problem solve ho gaya ab show karne laga he.
Good :)
Very nice information for bloggers…….agar koi blogger in sabhi tips par dhyan de to ek long term blogger ban sakta hai…..very thanks to share this article……..
Thanks Amul.. mene apni puri kosis ki ab dekhte hai isse kitne logo ko faida hota hai..
Bro.maine settings me other option me tracking id me add kiya tha
Bro analytic tool mere blog per work nhi kr raha h usme sirf pc laptop se visit karte h bas vahi show kr rha h lekin mobile se visit krte h to show nhi hota uspe kuch hmesa zero hi show krta h mne alg alg mobile se ek hi tym per visit krke dekha to b zero hi show ho rha tha mobile visitor me iska pls koi solution btao na
Aap jo code hai google analytics ka.. Wo html me add kare.. Agar aapne kisi widget me add kiya hai jo mobile me open nahi hota to mobile ko track nahi karega..