Abhi ke time me aesa domain select karna jo search me aasani se aaye ye sabse pheli step hoti hai apne blog ko success ki taraf lejane ki, jiski madad se hamare blog ko search me badiya ranking milti hai.
High Quality ka Domain bhut aasani se Google me rank karta hai or search me first par aasani se aa jata hai.
Blog ko search me lane ke liye aapko SEO ki Puri Jankari hona bhi jaruri hai jo mene share ki hai, aap unko jarur read kare. sath sath or bhi bhut si bate hai jo hame dhiyan rakhni padti hai:
Starting me New Blogger jo jada tar ye galti karte hai, ki badiya domain name nahi lete or fir unko bhut paresani hoti hai google me apne blog ko rank karne me, or fir Blogging me Fail hokar Blog band kar dete hai. Jo sabse phela step hota hai Blogging me apna career banane ka, ek aesa domain register kiya jaye jo hame aasani se rank dilaye or sabse hatkar bhi ho..
To Chaliye Dekhte hai kaise ham apne liye ek High Quality Badiya Domain select kar sakte hai..
Table of Contents
Kaise High Quality Domain Name Select kare
#1: Chota Domain badiya hote hai
Domain name agar chota hota hai to acha rhata hai, logo ko aasani se yaad ho jata hai or usko wo direct bhi type karke hamari site ko khol sakte hai. Mera Suggestion hai 13 sabd se jada use naa kare domain me.
Jese aapko pata hi hoga meri site ka Domain Name – www.HindiMeHelp.com hai, jo 11 sabd ka Domain hai, to mene apni site ke liye HMH.pe Domain register bhi kiya or unko apni main site par redirect kardiya. jisse ab koi bhi HMH.pe type karke bhi Hindi Me Help par aa sakta hai.
#2: Yaad Rakhne Me Aasan ho
Domain Name aesa hona chaiye jo yaad rakhne me aasan ho, jisko koi bhi aasani se yaad rakh sake.. Domain me aese hi sabd use kare jo aapki site se sambandit ho.. Iska ye faida hai ki agar koi aapki site par aayega to wo double se bhi aa sakta hai q ki usko uska naam yaad hoga.. or wo kisi ko direct bhi bata sakta hai ki ye koi site hai.
Jese aap apne Dost se kha sakte ho ki Hindi Me Help ek badiya site hai, Jispar Internet ki Jankari Hindi Me Milti hai. 🙂
#3: Domain Name Extension
Kosis kare “.com” extension Domain lene ki ye sabse jada popular hai, kisi ki bhi site ki baat karte hai to .com me hi imagine karte hai. wese “.net” or “.org” bhi bhut log use karte hai. Agar Aap sirf apni country ke liye site bana rahe hai jo bhar nahi chalegi to aap country ka domain extension bhi le sakte hai.. Jese India ka “.in” hai.
Example:
- www.Example.com
- www.Example.org
- www.Example.net
- www.Example.in
#4: Sabd Istmal kare
Khane ka matlab hai aese sabd use kare domain name me jo aapke blog ko describe kare.. Ya fir aese sabd jo aapka blog kiske bare me hai ye pata chal sake. Isse ye faida hai ki visitor hamare domain ko pad kar bhi andaja laga sakta hai site par kya hoga..
*Jese maan lijiye aapki koi site hai shayari ke upar to aap uske liye kuch aesa domain le jisme shayari sabd aaye..
Ek baat ka diyaan rakhe kisi domain ki copy naa kare, khud ka brand banaye.. Aap kuch aese sabd bhi le sakte hai jinka koi matlab nahi par chote ho. jese Labnol.org, jo India ki Popular Blogger site hai.
#5: Number or Hyphens Use nahi kare
Domain name me sabd ke sath sath number (1234) or Hyphens (-) use kar sakte hai, par me aapse kahuga ki inko use naa kare. Ye yaad rakhne me muskil hote hai or type karne me bhi dikkat aati hai.
#6: Sabse Hat kar ho
Siru me bhut se log ye galti karte hai ki jo phele se popular site hai uske domain me thoda kuch add karke apna domain register kar lete hai, par aese me unko nirasa hi haath lagti hai, Q ki aese me logo ki najar me wo ek copy-cat (Dusro ki copy karne wala, jisko khud kuch nahi aata.) khalate hai.
agar aapko Badiya success hona hai to aapka koi alag naam bhi hona chaiye jisse aapko pachana jaye.. (kuch logo ne mere Domain jese domain liye hai, kya kabhi unka naam hoga).
Kuch log kya karte hai koi badiya site hai to uska koi dusre extension me domain le lete hai, aesa naa kare. Jese HindiMeHelp.com site hai to uska .in, .org, .net domain extension le liya.. isse aapki koi alag phechan nahi ban sakti..
Agar aap kisi ke domain se sambandit domain lete hai to aap to aap sirf uska promotion kar rahe hai apni mhanat se.. Khane ka matlab hai, maan lijiye aapne domain name liye Onlinehindimehelp.com or jo aapka is site ka visitor hai agar kabhi usne HindiMeHelp.com ko khola to aapki, site ki kya value rahegi? … Soche iske bare me.
#7: Bolne Me Aasan ho
Iska sabse bada faida ye hi hai, ki koi agar hamari site ke bare me kisi se baat karega to wo aasani se hamari site ka naam bol sake. Muje lagta hai Aap Hindi Me Help ka naam aasani se bol sakte hai or apne dosto ko bata sakte hai 🙂
Facebook Page, Twitter or Google+ Plage bhi banaye apni site ke liye.
#8: 3 Sabd se Jada Nahi
Domain Name jaha tak ho sake chota hi rakhe, par agar koi badiya naam naa mil raha ho to aap bada le sakte hai. me aapko suggest karuga ki aap 3 sabd se jada use naa kare.. Jese meri site ke bhi 3 sabd hai – Hindi Me Help
#9: Site Title or Domain
Aapki site ka Domain or Aapki Site ka naam alag alag ho sakta hai, par me aapko suggest karuga ki dono same hi rakhe. Isse site ko yaad rakhne me aasani hoti hai visitor ko.
#10: Domain Name Generator ka Istmal kare
Ham sab insan hai, or sabki sochne ki limit hoti hai. Hota ye hai kuch samaj nahi aata kesa domain le jo badiya ho to aap uske liye Online kuch site hai uska istmal kar sakte ho. Kuch Online Tools hai jinse ham apne sabd daal kar search kar sakte hai ki kya kya domain name ban sakte hai.. Ye kuch badiya Site: Domjax, BustaName, Impossibility, Panabee..
Kuch Bate jo Diyan Rakhe Domain ko Lete Bakt
#11: Kanuni
Thoda time ye search karne me bhi lagaye ki jo aapne domain select kiya hai kahi wo phele kisi company ka to nahi tha, Nahi to baad me aesa ho, aap apni website/blog ko badiya banane me lage ho or koi aap par cash karde.
#12: Thoda Time de
Jab aapko Badiya Naam mil jaye uske baad bhi thoda time de or Search kare koi dusra naam bhi, jo best ho Usko Register karle.
#13: Social Media par username available ho
Jo bhi Domain Register kare, usko phele dekhe.. ki uss naam ke username har jagha available hai ke nahi, q ki agar nahi hoge to hame hamare users se social sites par uns connect rhene me dikkat aayegi.
In Sabhi Point ko or achi se samajne ke liye Video Jarur dekhe 🙂
Domain Name Register kaise karte hai uski jankari aapko yaha milegi, jisme mene ye bhi bataya hai kaise aap ₹99 me Domain le sakte hai.
Agar aapka BLogger par Blog hai to Domain ko Kaise add kare Blogspot me uski jaankari bhi aapko mil jayegi step by step.
Last me sirf ye khana cahuga ki kisi ki copy naa kare, khud ki Brand Banaye, Q ki mene dekha hai bhut log sirf ye karte hai dusre ke domain name me thoda bhut change karke apni website bana lete hai par usse aage chal kar bhut nuksan hota hai…
Aapko Hindi Me Help Naam kesa laga meri site ka apne rai de comment karke 🙂
Or agar koi aapka Friend hai jo website banane ka soch rahe hai to unse ye post jarur share kare, taki unko help mil sake..
Aapki agar website hai to jo aapki website ka domain hai wo aapne kaise select kiya uski bhi koi badiya story ho to comment me jarur share kare 😉
Hmmm…very nice article .. i like it very much and
your Domain is perfect matched to your site contents
Thanks Deepak
bhai mujhe yeh bataye ki maine abhi ” googleadbook.blogspot.com” naam se blog banaya hai, computer aor internet knowlage ke liye . kuch dino mei is naam se domian bhi kharidna chahuga, aor maine godaddy par search kar liya hai , yeh domian available hai, isme ( googleadbook naam se) koi dikkat toh nahi hogi google company se
Nahi.. Bas aap kuch aesa share naa karna jisme kisi ko lage ki ye google ka hai. Khana ka matlab hai kuch farji kaam naa kare.. Google ko isse koi dikkat nahi hogi.
Bhai maine bhartiyaswad.blogspot.com ke name se blog banaya h.jisme recipy ke bare me post likhunga.mai ye janna chahta hu ki jb mai adsence se ise jodunga to waha languge option me kya dalunga.mai apna blog hindi me isi tarah likhunga, means bhasa hindi rahegi aur likhunga english font me.to ap.bataiye adsence mee kya dalenge
Hindi dalna
Deelip anand Patna city hjari Mohlla
Sir kaise pata chalega ki jo domain hm kharid rahe hain wo pehle se registration h ya ni taaki case na jo
Sir pahele to me aapko sukriya karunga meri bahut help ki he or me aapki site se hi sab kus shikha hu
Me aapki site ka regular user hu
Sir ak baat he ki maine ak site banai he
Uska name he
HindiLoveShayari143.Com
Sir to maine a domain kharid kar galati to nahi ki na?
Name kaisa he sir??
Visitar to aayenge na??
Or vaise bhi 20 dino me 2000 wiew mins ki visiter aaye he
Koi dikkat nahi hai, yaad rhane layak naam to hai. Bas thoda Bada hai. To agar koi direct aapki site ko kholega to dikkat aayegi. Baki badiya hai.
Bhai me sattamtka ke name se blog banasakta hu, ye koi resik wala kam to nahi.
Isme kya dikkat hai.. Bilkul bana sakte ho
Bhai mene youtube ke duwara google adsense approve kraya h ab me use apni website se jodna chahta hu…kaise judega…kya kya jaruri h….
ads code generate karke site me add kare
Bhai mai ap. Se bat krna chata hu… Plz mail… My e.mail
Aapko kya pucha hai. . Aap puch sakte ho.. Facebook page ? par bhi message may sakte ho
Hi rohit
Apki site ka name bahut hi badiya hai or ek tarah se sabse alag he , me hamesa hindi me help hi type karke search karta hu . Google me website ki rank kya hoti he or acchi renk ka kya fayda hai ?
Plzzz bataye.
Google me rank ka matlab hai, jab koi search kare to Hamari site search me Upar aaye.. Achi rank ka sikha Faida data visitor site par aayege.
Helo sir mere mobile me hindi langauge shaport nahi karti to sir me kiya karu jisse me hindi langauge padh pau me Micromax A.30 Android phone use karta hu please Help me…?
Agar mobile ? me hindi support hi nahi karta ho aap Hindi nahi pass sakte uske..
koi Aisa App hai jo mere mobile me hindi langage support kare
sir mera yah blog hehttp://www.gkonlinetest.inespe mene adsence ke ad lga rkhehe lekin ads dikhayi nhidete apne dost ka ad code lgaya tab to dikhayi de rha tha mera ad code hi nhi dikhta kya problm he plz help?
Aapka blog abhi under review me hoga.. Aap apne ads ke code laga kar aese hi rhane de. 2 din tak lag sakte hai ads ko dikhne me..
bahut hi accha artical hai aapne sbhi word ka use bahut hi badiya tarike se kiya hai! main bhi apne blog par ek nya domain kaise chose karte hai iske bare me detaily se likha hu magar aapka bhi ye artical bahut accha lga
kya rohit bhai kab se aapko yaad kar raha tha ab mile ho kya haal h 1 baat btao mere blog par mene 1 template upload kiya h lekin usme bina mtlb ke page aa rahe h mujhe unhe remove karna h kaise karu mene 1 comment me padha tha ki edit template me jao or menu search karo lekin bhai mujhe kuch samjh nai aya aap meri website dekh lo plz bhai itne din se aapko yaad kar raha tha mera pc khrab ho gaya isliye kuch kaam nai huwa 1 or swaal h
Chalo ab to tik hai aapka PC 🙂
Amit ji me aapse bhi ye hi kahuga jo aapne comment me pada.. aapki Menu me abhi jo option dikh rahe hai aap unko template me search karke edit kar sakte hai.. Me iske bare me jald hi post likhuga.. par iski post thodi detail me likhni padegi.. uske liye muje time nahi mil paa raha hai abhi..
BHAI ADFLY ME LINK KO SHORT KAR LIYA LEKIN USME VIEW NAI AAREHE KYA KARU KITNA TIME LAGTA H ..
JAB HM USKO CHOTTA KARTE H TO BAAD COPY KARKE DIRECT PASTE HI TO KARNA H NA DIRECT LINK PASTE NAI HO RAHA USSE KISI LINK BNAKAR PASTE KARNA HOTA H JAISE AAP BNATE HO NA YAHA CLICK KARO OR JAISE HM CLICK KARTE H TO WO PAGE OPEN HO JATA H VAISE PLZ PURA DETAILOS ME BTAYE PLZ
Views aese hi nahi badte.. Jab aapki Choti ki hui link par koi click karega. Jab bha aayege views..
Mene post me link add ki hai.. Agar aapka bhi blog hai to usme aap add kar sakte ho.. Agar nahi pata to post editor ke bare me ek post likhi hai aap usko pado
Rohit ji kya mera http://www.hindimejane.blogspot.com badhiya sub-domain hai ya mujhe change karna chahiye. Kyonki main jald hi domain se jodne wala hun apne site ko.
Badiya
Rohit bhai domain 1year ke lie purchase nahi hota hai abhi godaddy me baat kia unho ne kaha ki 99rs/year lene ke lie min.2year ka plan purchase karna padega.srif1year lene ke lie 650rs lagege.
hamesa alag alag offer rhate hai.. abhi ye offer hoga.. usme me bhi kuch nahi kar sakta.. aap 2 saal ke liye le lijiye.. ya fir wait kare.. agle offer ke liye.. pata nahi kab aayega.
bhai app se earning kese hoti hai. site me to advertisement se ho jati hai. app me to ad rehte hi nhi. fir earning kese hoti hai. pls reply bhai.
aapne sayad diyaan nahi diyaa.. ads hote hai.. ads se hi hoti hai earning
me ne blog banaya he os blog ke nam me blogspot likha he blogspot ko kaisy hatay?
blogspot hatane ke liye aapko badiya Domain Name search karke aapko Domain register karke Blog se add karna hoga
me ne blog banaya he os blog ke nam me blogspot likha he blogspot ko kaisy hatay? bb
dailymotion ki video without buffring ke kaise chalay?
Inka koi tarika nahi hai… Ye Hamare net connection ke Upar nirbhar karta hai.
rohit bhai mujhe ye batao ke (.PNG) file ko (.ANI) file me kaise convert karo?
Format Factory software ki madad se
rohit bhai mere comments ka foran answer q nahi aata.? itna time q lagta he bhai?
Mere or bhi bhut se kaam hote hai comment ke reply karne ke aalawa.. Me jese hi free hota hu comment ka reply karne ki puri Kosis karta hu.. Par thoda time to lagta hi hai
sir mujhe aapki abhi help chaHiye meri website http://www.apnamobile.tk hai ab me usko mere word press site http://www.howtosikhe.com par import kiya thha ho gayi lekin ab mujhe usme ad nahi dikh rahe hai
Ads to alag se add karne padege.. Q ki ye aapki wo hi site nahi hai dusri site hai
To kya mujhe new ad code banana padega
Aapko new domain phele add karna hoga.. Uske baad ads aayge
Ha mene adsnse me new domain ad kar liya hai to kya ab me usme purana hi code dal lu ya Google ki taraf se koi mail aaye uske baad
Purana hi daal sakte ho.. Phele ads khali aayege fir thode time baad dikhege
okk thanks sir 1 baar aap dekh lijiye mere post ke bich me jo ad hai wo pehle wale hi code dale hai wo show nahi hi rahe hai lekin abhi mene ek wizet joda hai usme purana code dala hai wo ad show ho raha hai
Post me html section me dalna hai
Sir aapne jo blog ki themes di thhi kya wo WordPress me bhi ho jayegi
Nahi… Usko search karna padega. Mil bhi sakti hai.
Ok thanks sir mul jaye to aap plz bata dena
Haa usko bata de.. Jo main hai sirf wo use kare
Rohit…maine 4 digits ka Domain socha hai …’Ankk’ ye kaisa rahega lekin iska koi mtlb nahi hai..
or kya’.co.in’ wala theek rahega….maine ‘Flashtrick’ bhi socha hai…in dono me se konsa theek rahega..
Jo ankk hai wo badiya hai par iska aapki site se kuch na kuch relation to Hona chaiye.. Jese mera ek domain hai HMH.pe .. Baki aesa koi jaruri nahi ki uska koi matlab ho.. Jese labnol.org jiske naam ka koi matlab nahi hai.. Par mera suggest hai ki aap simple .in .org .net .com extension le
Sir,
me blogger pe naa hu
mene ek naya blog banaya hh muje blog par mera Facebook page add karna hh or Facebook page ke code kese add karu..
yaha diya hai
Rohit Sir…
jab bhi mai apne blog ko Google par search karta hu to kabhi bhi mera blog Google ki search list par show nahi karta iss wajah se mai apne blog me post nahi karta.. help me sir..
Aapka blog new hai to abhi search me nahi aayega.. Aap post regular kare.. Dhire dhire aane lagega.
Sir mujhe wapsite banany k liye step by step kux trics dijiye
yaha diya hai
Sir Domain name hum Vodafone ke mpesa se kharid sakte hai iski payment m pesa se kr sakte hai
Aap payment karte samay payment ka option check kare.. Agar Ho iska option to aap bilkul kar sakte hai.. Mene isko check nahi kiya
i am very happy to visit your site plz mujhe online earning k bare mein thori guidlines d dein plz mein n ap k kuch sites information about online earning k bare mein parhi hai.
aap blog or youtube se badiya paise kama sakte hai.. or inki jankari mene site par dali hai..
entartenment
Rohit g Maine kal you tube par video dali or aaj meri mail I’d par adsence ne ek adsence account bheja or ek billing account send kya hai yeh kya hai or agar yeh adsence ka account hai to mai aaj anpi website bna use add kar sakta ho.ise koi dikat to nhi hogi .
sIr muje apNA name gOogle pr lanA h JissA merI phchaN ban Ske Plz AaP koI heLp KrdO jiSsa MerA name Agr kOI seaRch Kre To ShoCked Hojye …..
AaP SmJ Gye honge Sir MEri BhaVnaYa …..
uske liye simle aap kuch bhi aesa kaam kare ki aapke naam ko jada se jada log search kare.. fir aayega..matlab aapko popular hona padega.. kisi bhi field me.
site kase bante h
yaha diya hai
sir isme me ads kese jodu… or me domain name ko isse blog se kese join kru… r sir ise muje batayein ki mujhe is website me kya karna hoga
sign up kare advertiser site par apna account banaye.. mene kuch post dali hai site par.
mins dbslnr nam se.
bhai me is nam se website create krna chata hu .pr ek dikkat he .me chahta hu ki is website me log apni ek login id bana sake. ye site logo ki help karne ke liye banana chahta hu plz reply karna my no 9852042042 he.
uske liye aapko wordpress par banana padega.. or aapko coding ka thodi jankari hona bhi jaruri hai uske liye.
Agr aap login or register system chahte toh us trah ki website mai apke liye design kr sakta hu
bhai plz mujhe personally guide kar dein plz…..
Aap Hindi Me Help ka facebook group Join kare
Sir domain kise kehte he
Kya aapki website me sabse uparlikhi hui he use kehte
Plz reply
domain website ka address hota hai.. jese http://www.google.com, http://www.facebook.com, https://www.hindimehelp.com
Sir me blog banana chahta hu or uska name kya rakhu samaj ni aara me aisa name rakhana chahta hu jo public ko pasand aaye
1.net se paise
2.net ki jaankari
Ye rakhu kya do main se kon si thik rahegi !
Ya koi aap soch rahe ho jo name accha ho aapko koi bhi name accha lage jo aap soch rahe ho mujhe bata denaa please
ager apko apni site Pe traffic lana hai to “Net se paise” Rakh sakte hai
Meri comment kab tak waiting me rahegi
sir mujhe ye bataye ki clixsens se paise kaise apne paypal me aur paypal swe bank me bhejte hai aur $1 ke kitne india me kitne rupaye milte hai
Rohit ji aapki site PR aane k bad bahut kuchh clear to ho gaya he iske liye thanks ..mere primary school school he ten alag jagah me unko maneg Marne ke liye website banwana chahta hu yearly kitna kharcha aayega or shuruaat me kya karna padega plz.help me…..
Sir mujhe site bnani h or app mujhe ye btae ki muje kis type ki site bnani chahiya jisma jyada income ho please sir
Mujhe kaise pata chalega ki kis name ki site pehle se bani hui hai google pe kuchh bhi search karte hai to kuchh na kuchh khul hi jata hai pls help
agar aap koi site ka pata karna chate hai ki wo hai ki nahi us naam se to aap kisi domain register karne wali site ko open kare fir usme wo dale.. agar phele se nahi hogi to register karne ke liye aa jayegi.
Utube me video upload nhi ho rha upload option me jakar video select kar rhe hai to phir wapas utube me aa ja rhe hai lekin wo video nhi aa rha hai
samajh nhi aa rha kaise upload kere
Bhut badhiya bhai kya likhte ho tum.
Usse bhi achchi batt ki sab comment ka jawab bhi dete ho
Thanks Ehsan ji
Nice post aise hi information update karte rahiye…
Dhanyabaad Nitesh ji.
Hello Rohit mera name gajendra ha mujhe best tital kase select karu for all type gk qoetion
hello frnd plz mujhe btao kase tital dalu for best gk question ke lis
Me bhi ek wapsite banana chahata hoo please help me
Mujhe apse ese baat karne me dikkat ho rahi hai aap apna whatsapp no. Dedo
Tital ka mtlv smjao yaar
Title wo hota sirsak.. jese newspaper me heading hoti hai.. wo Title hi khalata hai..
kya blogger par sex story bhi post kar sakte hai. isme koyi problem to nahi hogi pleese bataeye
isse aap adsense ke ads nahilaga sakte.. or agar kisi ne bhi aapki site ki report kar di to ho sakta hai Google aapki site ko Delete karde.. isme income kam hai or risk bhut jada.. or ham aesi site ko openly share bhi nahi kar sakte.. baki aapki marji.
Sir AApne bola ke hum jo domain lete vo pahele kisi company ka to nahi tha…. to sir Abhi jo me domain lena chahta hu vo bigrock pe available hai aur vo me lena chahta hu….. lekin vo kaise pata kare ke ye domain pahale kisi ne liya tha ya nahi….. pls help me sir
Bhai me Blogging sinkh Rha Hu or mene ek blog bnaya h allhindishayarii.blogspot.in me ye name hi lena chahta tha par ye available nahi tha to mene shayari me last me do bar i ka use karke le liya koi dikkat to nahi h na or name kesa h, aapka name bilkul saral or sahi h pllllz tell me
naam kuch bhi rakho.. par yaad rakhne me aasan hona chaiye.. mera suggestion hai ki aap double i ki jagha koi dusra naam use kare.. q ki aesa karne me aap jisma main domain hai uska promotion karege..matlab sab jab dalege allhindishayri to aapka blog me nuksan hoga..baki acha naam kaise select kare uske liye aap post ko achi se pade..
Bhai mene jo blogspot use kiya h kya vo change ho sakta h kya or hota h to kese please tell me
sir kya me apna blogspot name change kar sakta hu or domain le sakta hu iski jagah or aapki advise me badiya domain name konsa hoga hindi shayari ke liye. please
bhai mujhy onine education k bary main logo ko btana hai lekin is name sy bn ni pa raha example- onlineeducation.blogspot.com bt ye to not avlible aa raha hai
webseti me paesa kaese mele ga
Url Kaise banaya
Comment: mere to kuxx smj me hi ni aya kaise bnauuu
Comment:aapka Suggestion very good hai hum abhi new hu aur aapka website kal mujhe mere dost me batlaya h koi bhi mere man mai question hoga to aapko jarur pauchunga ok.
aapka Suggestion very good hai hum abhi new hu aur aapka website kal mujhe mere dost me batlaya h koi bhi mere man mai question hoga to aapko jarur pauchunga ok.
Ji bilkul..
hello sir me ye janna chahta hu ki meane LolBaba.blogspot.com ke name se blogg banaya hu. lekin mera dikkat ye hai ki me esse sirf LolBaba.com name kease dun.
Rohit bhai plj ye btae ki domain name air website me kya antar h aur agar meri website par visitor aate h to uska kya labh hoga mujhe plj healp
helllo rohit sir
how r u
sir mein aapna blospost ka naam change karna chatha hu. kaise karu. please for example. netgohindi hai par mein es ko change karna hai. pls sir koi tarika hai. jis se my create new blog ho jaye.
i wait you sir reply.
bhai aap blog ki settings me jaye aur aapka jo defoult ya custom domain hoga waha par adit par click karke change kar skte hai. Agar aap third party domain add Karna chahte hai to uske niche Third Party Domain ka option milega aap waha se change kar skte hai
Hello friend Meai Robin Punjabi Raper
Rohit ji.sabse pehle aapko salaam kyunki app itni achhi achhi knowledge share kr rahe. Bhai mai ye janana chahta hu ki auction domain buy karne me koi kanuni dikkat to nhi hogi.
ROHIT JI. Expired domain buy krne me koi kanuni dikkat to nhi aayegi .
website se paise kis me ayenge aur website se bank se connect hoga
website se paise kis me ayenge aur website se bank se connect kaise hoga
domain name becha kaise jata hai
hello Rohit pls help me what can i do after buy Domain Name. how i start my website after purchase Domain and hosting
mene vastu ke liye blog banana h. blog ki search tittle se hoti h ya address se.agar me tittle me likhta hu vastu tips for early marriage or for opportunity. mera address supose kere ki vastuhelp. h . public ko k
ya dikhaga
Sir,
sabse pahle to aapka bahut bahut shukriya. jo aapne ye website bnai. sir me abhi nya hu. meri apni ak mobil accesories ki chhoti si shop me soch rha ki apna bussiness online karu. to sir muze kya karna padega. agr aapke pass thoda sa time ho to me aapse milne aa sakta hu aap jaha bhi rahte ho. kyoki sir muze net chalate huye 5 saal ho gye mene bahut sare bussiness ka socha koi bhi safal nhi hua….plz sir help me.
Sir mujhe ak web said bnani he kya ap mere help ker skte he apki bahut meharbani hoge ap mail ya whatsapp pr jankare de pleese
hlo sir mere ek adsense se 2 website add hai..hindi or English to kuch problem to nhi hai na or agr koi problem hai kya hai???
Hallo sir mera name Nikhil h me ek bca student hu or mujhe bi you tube par apna Account bana kar kuch mony arn karna h jis se meri study ka kharcha nikil sake ap mujhe puri detail me bataye sara prosiser plz
Mene wordpress pr blog banya h pr muje creat or free website on wordpress likha ata h use hatana kese hatau
Bahut achhi jankari di hai aapne. Mere safe doubt clear ho gye.
Thanks suraj ji.. N best of luck aapke event blog ke liye ?
Bro link kaha se laye jo blogger me lage ga use….
aapko domain register karna hoga..
sir mujhe bhi wadsit banani hai kaise banu
my watsapp number 8376844496
sir mujhe bhi wab banani he kaise banye
my wathsapp number 8376844496
I like your post. Thanks sir.
Thanks
Bahut sari jankari mili padh kar so thanks sir
Hii…
I am Md Farhan Rasool also read full article is great articles
Rohit Bhai kya hm .co.in India ke liye Kaisa rhega domain add is faida or Nukshaan ?
Nahi agar aap blog ke liye le rahe hai to co.in naa le.. Agar aap only India ke liye site bana rahe hai to aap .in le sakte hai.
Rohit Ji , डोमेन नेम सलेक्ट करने में ही ज्यादा कन्फ्यूजन होता है ,
पर अब आपके आर्टिकल को Read करने के बाद Viewars के कन्फ्यूजन दूर हो जाएंगे ,
Good Share करने वाली जानकारी है ।
Thanks
perfect domain name . easily remember your name. thanks
Hello Mr. Rohit Mewada Mera Domain Jose Me Work Kar Raha Hoon .
woh – TheKipKopMusic.Com He
Total 14 Words Ka He – Kya Ye SEO Ke Liye Acha He
SEO me to koi problem nahi agar aap sahi se kare to.. par mere hisab se ye bhut long hai.. or aese me unko type karne me paresani hoti hogi visitor ko..
Sir mene aapko do bar guest post send ki hai. Aapne abhi tak mujhe koi reply bhi nahi diya. Please sir aap post ko jarur dekhe. Agar koi kami ho To muje jarur baiyega. Thanks
Brother aapki post draft me hai.. jald hi publish hogi..
wah bahut badhiya sir
Hello
It’s nice articles all information provided is great…
Rohit advice me
Kya Blogger ke liye Jyada .com ya .in accha rhega koi India ka Event ho to.
Agar only India ke liye hai to .in badiya hai.. Par agar uska .com bhi hai to me suggest karuga .com hi liya jaye.
सर आप की पोस्ट में बहुत दिनों से पढ़ रहा हु सर मुझे बहुत जानकारी हुई है आप के पोस्ट से थैंक यू सर
Welcome 😊
sahi kaha aapne jitna chota domain utna acha. mere site Ehindi.in domain 5 word ka hai. jiska benefit mujhe bahut mile raha hai.
AchHi jankari di hai bhai…thxx
mere dusre blog ka domain expire ho chuka hai… lekin me abhu buy nahi karna chahta.. to kya mere vo domain koi kharid to nahi lega
Bahut achhi jankari di hai aapne. Mere safe doubt clear ho gye
Nice sir i follow all your post sir, I read all your posts sir,And as always is unique.kept…sir always with you…
Sir aapke sabhi articals acche hote hai or seo se related maine aapke sabhi articals read kiye hai sir kya aap meri website dekh kar bata sakte hai usme kya kami hai maine apni har post me seo ko follow bhi kiya hua hai but traffic nahi aa raha 15 din ho gay website ko banaye hue sir please any solution
Aap High Search wale topic target kare,, ..
Sir mere website me adsense approve ho gaya hai. but mere website par ek bhi trafic nahi hai mai kya karu jisse ki mere website ki traffik bad jaye plz help…Aur mere website blogger par hai
Thanks sir for sharing this useful artical
Yes Rohit, You are right a good is really required for the blog because it is the identity of the website.
By the way thanks for sharing amazing post with us.
Regards,
Basit Ansari
nyc article,bro kya hum blogspot ke domain ko rank karwa sakte hai.
sir mera website ganamaza.cf hai mai free me start karna chahta hu jab paise aayenge to .in wala le lunga mai thik kar raha hu na??
Good suggestion for choosing a great domain…Thanks Mr.Rohit
Sir ma ap se puchna chahta ho kya website se 100$ day kamaya ja sakta hai or kaisy or sir aik website k lia hosting zarori hai is k bgair ni post kar saktay plz tel me sir or kitni post hony per adsence k lia approve kary or approve krny k lia view zarori hai ya ni plz sir tell me
Aap bina hosting ke blogger par blog bana kar post share kar sakte hai. Adsense approve karwaane ke liye aapki website well maintain rehni chahiye. Or agar aapke blog par views nahi aata to bhi approve ho jaayega lekin koi fayeda nahi hai. Pehle blog ko success karo.
Hello Mr Rohit Sir.
Aapke Saare Article Kafhi helpful Hote Hai.
Meri Bhi Wish Hai Ki Main Bhi Reader ko informative Knowledge Pahucha Pau.
Please AAP Meri Blog PR Visit Kar K Bataiye Kya Ki Main Blog Platform m accha kaise Kare Sakta hu aur Maine Ab Tak Kya Galat Kiya hai..
Hope You Answer??
my blog iss very good must read
Nice information bro..
Bahot hi Achhi
Jankari Sher Ki
Hai Aapne
wow amazing post bro..thanks for sharing
jo blogging shuru krne ki soch rhe hai unke liye kaafi badhiya
Sir MERI BHI ek site h uspe like kese badaye
Rohit sir mai ek blog banana chahta hu jo name maine choose kiya hai bo abhi tak register to nhii hai maine search karke dekha to bta rha hai ki this domain name is for sale aur aap kitne rs. ka lena chahte hai agar mai is name se blog bna lu to bad me koi dikkat to nhii hogii.
Badiya domain name kaise select karen aapne sare doubt ko clear kar diya Rohit Bhai isse new blogger ko help hogi good domain buy Karne me
यह एक बहुत ही बढ़िया आर्टिकल है और ऐसे आर्टिकल से हमे काफी मदद मिलती है।
rohit sir bahut he badiya post share ki hai apne domain select karne me maine bhi galti kar di thi mera domain name kaafi difficult hai.
Nice blog sir Aap ka content likhne ka style vakahi me fabulous Hai Aap esi Tarah post likhate rahe aur humari help karate rahe
Thanks 🙂
sir aap mera domain name check karke bataye ki ye kaisa hai
HI
VERY GOOD POST I LIKE IT , APNE PURI JANKARI ACCHI SE DIYA HAA THANK YOU
सर जी बहुत अच्छी जानकारी दि है आप ने आशा करते है आने वाले टाइम में भी हमें इस तरह की अच्छी जानकारी आगे भी मिलती रहेगी बहुत बहित धन्यवाद
Hiiii Rohit bro article very nice keep it up bro…………
hiii bro nice article keep it up bro………………
Apki site ka name bahut hi badiya hai or ek tarah se sabse alag he , me hamesa hindi me help hi type karke search karta hu . Google me website ki rank kya hoti he or acchi renk ka kya fayda hai ?
Hi Rohit Mewada Sir bahut helpfull article hain, Sabse sasta domain kaha milega?
Godaddy, Bigrock Or Hostgator?
Hi Rohit Mewada Sir bahut helpfull article hain, Sabse sasta domain kaha milega?
Godaddy, Bigrock Or Hostgators?
Godaddy se sahi rahega sasta bhi hoga or godaddy bale apki Puri help karege
Sir Domain Name select karne ke bare me bahut accha pist likha hai.
sir mujhe ek website shuru karni hai topic kya rakhun? pls hekp
Entertententertainment
Ya Sprts me sabse Jada Cricket chal raha hai
Bhaut Mast Post Rohit Bhai ….Thx …Waise Vedio Me aapke dekh chuka hu notification aya to mujhe laga new post h aapki koi
Domain selecting pr Bahut acchi article likhi aapne…..
Nice post keepvitvup
Sun rohit tu jmd se jalta hai kbhi uske grp me post nhi kiya kbhi usse fb pe bat nhi kiya khte kyu nhi ki mai jmd se jalta hu
Jalankhor rohit mewada
Nice post Ishi
Tarah Post Likh
Kar new Blogger
Ki Help Karte
Raho Bhai
Rohit bhai aapke article ka to jawaab nhi..
Sir mai blogging field me new hu but website banana aata hai par meri site search engine me nahi aa rahi hai kya problem hai sir
Very nice article brother thank you so much
nice article rohit bhai… mainai GooglebULLETIN.COM liya hai Godaddy sai. Kya mainai sahi kiya ? ab aagai kya karun.. plz help
sir jo comment ke niche follow up comments ka option rhta hai use kaise remove karu
bhut achi jankari share ki hai apne sir kya http se https karne par trafic kam ho jati hai kya..
Good Information…Rohit.. ye sabhi tips dhyan me rakhne layak hai..Keep it up.
nice article bhai……
Verry nice and verry good article sir….
Sir aapne bahut achhi jankari di hai.
Mera ek sawal hai kya ek aisa domain lena achha hai. Jo expire ho chuka hai. Aur uski domain authority bhi achhi hai lekin hamare topic se match na krti ho.
agar match nahi hai to fir to uska faida nahi hai..
आपकी वेबसाइट बहुत बहुत अच्छी है और इस साईट में आर्टिकल बहुत ही हमारी जानकारी के लिए बहुत बहुत उपयोगी है इस वेबसाइट के लिए हम बहुत बहुत सपोर्ट करते है की आप हुम्हे आने वाले समय में भी ऐसी ही जानकारी प्रधान करोगे..उस के लिए बहुत बहुत शुक्रिया
bhut hi acchi jankari thi sir maine ek domain name nya purchase kiya hai godaddy se aapke post pdne ke baad
thanks sir, bahut hi kam ki jankari share ki hai apne. fir sa ek bar thank you.
Sir Please btay post k andar kasa ads show krta ha jasa ap ke website ke es post ma shoe ho ra ha plzzzzz
aapka har baat achha hota hai…
Bhai me aapka bahot bada fan hu aapne jo hinglish me information de rahe ho womere jese log jo english nahi padh shakte unke liye bahot badhiya kam hai.
Mai apne naye site ke liye Domain name dhundh rha tha, aapke es article se kafi madd mili.. Thanks Rohit bhai.
bahut khub ….
first time har blogger domain name par dhyan nahi dete ki kis trah kr domain lena chahiye. aur bhi bahut kuchh jankari leni chahiye tab jakar domain lena chahiye. so aapne isme puri information de diye. very good post sir….
really good post wow
nice post article wow
Yes I got my best domain, Thanks.
Bahut accha post h bhai accha aap ye batyye ki main apne site ka name technicalnaved.com rakhna chahta hoon to kya ye sahi hai actually domain name Buy karne wala hoon to isi lye socha aap se puch loon
sir apka samghane ka tarika achha laga
thanks for sharing badiya domain name artical
Thanks Bhai
Great info bhai
thanks for sharing
maine ek name select kiya hai…wo google search pr 2 hi result show kr rha ..godaddy pr ye name availabe hai but name jyada catchy nhi hai …kya muje lena chahiye plzz suggest.
Agar name chota hai, bolne or likhne me aasan hai to le sakte ho.. Q ki brand to jab hi banti hai jab sabse hatke naam ho..
thx to reply sir me ek motivational blog start kr rh hu kyuki me kafi lambe time se marketing business me hu Aur is field me kafi strength hai meri blog name “basekzid. com” kesa hai.kya ap kuch name Aur de sakte hain.
Haa acha hai sabse hatke..
very nice information bro
thanks for sharing this information
Thanks sir me ise hi follow karunga or ye article mujhe bahut accha laga
Thanks for sharing the article
bahut badhiya aap jankari ko share kiye hai.is post ko padhane ke bad iske bare me koi sawal hi nahi uthata hai.
Thanks bahut achi jankari di
Aapne Bahut Acchi Post Likhi Hai Rohit Bhai… Keep in up.
Bahut accha post h bhai accha . nice work well done
Kafi badhiya article likha aapne. Language bhi aasan wali use kia hai isase padhne me kam time laga.
Badiya domain name ke bare me bahut achi information di he aap ne sir ji. Aap bahut achi jankari shere karte he
Hello sir m yha aapki website pr aapke youtube video se aaya hu. Mene jb aapki video dekhi to mujhe bhut jaankari mili. Or mene aapke youtube chancel ko subscibe bhi kr liya .
nice article sir boht ache jankari
Sir muje motivational or sports biography likhni hai lakin domain name nai mil raha or blog chalega ya nai wo bhi nai pata plz guide
A really good post. bahot achchhi information dete ho aap.
आपका ये लेख बहुत ही सराहनीय है. समजाने का तरीका भी आसान है. बस कही कही पे hindi भाषा ओर hindi वाक्यों में कही चुक हुई है. फिर भी आप से inspire हो के मेने इसी topic पे अपनी भाषा में इसे समजाने की कोशिश की है.
https://www.hindisoon.com/how-to-choose-domain-name-for-website/
Sir ye batiye ki alexa rank kaise bhadaye
Sir, kya Mkstatus.com domain name accha he ?