Youtube Par Kis Tarah Ke Video Upload Nahi Kar Sakte Hai

Ham starting me youtube par video upload karna shuru karte hai. Tab hamare khud ke banaye huye video bhi copyrighted ho jate hai. Isliye aapko videos upload karne se pahle ye jan lena jaruri hai ki ham kis tarah ke video youtube par upload kare.

Youtube Par Kis Tarah Ke Video Upload Nahi Kar Sakte Hai

Toh dosto aaj ki post mai aapko yahi bataunga ki ham apne videos kaise banaye jo ki copyrighted na ho. Mai umeed karta hu ki ye post aapke liye jarur helpful sabit hogi.

Advertisements

Jab hamari self created video copyrighted ho jati hai. To hamare man me yahi sawal uthta hai ki ye video toh maine khud banai hai lekin fir bhi copyrighted ho gayi. Lekin isme galti hamari hi hoti hai ham youtube ki policy ko sahi tarike se follow nahi karte hai. Aur hamari video copyrighted ho jati hai. Aksar ye problem new youtuber ko hoti hai. Aapko is post ko padhne ke baad copyrighted ki problem dur ho jayegi.

Video upload kaise kare ye to aapko pata hi hoga, agar nahi to pata to ye post bhi pade:

Youtube Me Kon Se Videos Copyrighted Ho Sakte Hai ?

Agar aap youtube me video upload karke paisa kamana chahte hai. Toh iske liye aapko youtube ki policy ko acche se follow karna hoga. Youtube me daily na jane kitne log youtube channel banate hai. Lekin 10% log hi success hote hai. Toh aaj mai apko yahi batane ja raha hu ki ham kaun se video youtube par upload nahi kar skte hai.

  1. Games and Software: Ham kisi bhi game ya software ki screen recording karke youtube par upload nahi kar sakte hai.
  2. TV and Movies: Ham kisi bhi tv serial ya movies ki recording karke youtube par upload nahi kar sakte hai. Agar hamne upload bhi kar diya toh Serial ya movies ke owner ham pr copyright ka claim laga kar hamara video delete karwa skta hai.
  3. Sound Recordings: Ham kisi ke bhi music ya sound ko upload nahi kar sakte hai. Agar music ya sound youtube par pahle se hi uploaded hai toh hamare video par copyright claim lag sakta hai aur hamara video delete ho sakta hai.
  4. Advertisement: Ham kisi ke advertisement poster ke videos banakar upload nahi kar sakte hai.
  5. Your Age: aap youtube par video tabhi upload kar sakte ho. Jab aapko age 17 year se ziyada ho. Agar apki age 17 year se kam hai toh aapki video delete ki ja sakti hai.
  6. Porn: Koi bhi aslil video bhi ham youtube par upload nahi kar sakte..
  7. Ladai Dange ya gali: aese video bhi upload karne par delete kar diye ja sakte hai jisme ladai bagera ho rahi ho ya fir kisi ko gali di ja rahi ho.. Aatankwadi gati bidiyo se sambandhit video ko bhi turant delete kar diya jata hai..
  8. Kisi ko koi problem na ho: Hamne jo Video upload kiya usse agar kisi insan ka nuksan ho raha hai to wo youtube se report karne us video ko delete karba sakta hai.
  9. Video ki permission: Agar hame koi video upload kiya hai jo copywrited hai to hamare pass kisa legal notice hona chahiye jisko ham youtube me upload karke us video ko upload kar sakte ha.
  10. Hacking Video: Agar aap kisi cheez ko hack karne ka tarika bata rahe hai video me. Jese Facebook kaise hack kare bagera bagera to bhi aap ka account delete ho sakta hai.

Agar aap is tarike ke video youtube par upload karoge toh aap ke videos copyrighted ho skte hai. Agar aap in points ko sahi se follow karoge toh aapke video kabhi bhi copyrighted nahi hoge. Ek bat apko hamesha yaad rakhna hai. Aap self created video hi youtube par upload kare, Kyoki dusro ki videos se ham kuch bhi nahi kama skte hai.

Video Upload karne ke baad uski setting kaise kare ki wo aasani se search me aa sake uski jankari yaha hai.

Youtube se sambandhit sabhi post’s ko padhne ke liye yaha click kare

Ye Bhi Pade:

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

160 thoughts on “Youtube Par Kis Tarah Ke Video Upload Nahi Kar Sakte Hai”