Online Paisa Kamana har ek internet marketer aur blogger ki pehli psand hoti hai. Jab baat online paisa kamane ki aati hai to hmare mann me ek sawal ata hai ki akhir kon kon se tariko se online paisa kaman sakte hai.
Online paisa kamane ke tariko me ek tarika micro job sites ka bhi ata hai. Har koi Cahata hai ki woh apna khud ka boss bane aur ek free life Jiye. Agar hum micro job sites ki baat kare to latest technology ke badalte jamane ke hisab se micro job sites pehle se jyada simple aur Easy ho gya hai. micro job ek aisa job hai jaha aap apne skills aur talent ke hisab se dusre logo ki madad kar ke online badiya paise kama sakte hai.
Yadi aap blogging ke line me hai aur aap Jaldi online kuch paise kamane ka try kar rahe hai. To aap ekdum sahi jagah par hai. Yaha par aap kuch badiya tarike ke dwara online paise kama sakte hai…
Also Read:
- Online Teaching (Padha) karke Paise kaise kamaye
- OLX or QUIKR se Paise kaise kamate hai Jane Hindi Me
- Youtube Se Paise Kaise Kamaye Video Banakar
- Mobile Me App Install karke Paise Kaise Kamaye [Top 6 App]
- Whatsapp Se Paise Kaise Kamaye Uski Jankari in Hindi
Page Contents
Micro Job Kya hai ?
Micro Job ek trha ka chota mota kaam hai jo log online karwate hai Micro Jab Website ki madad se.. Wo koi bhi kaam ho sakta hai jese web designing, logo design, video editing, ya kuch bhi kisi bhi category ka..
Micro job ek bahut hi easy aur Aasan tarika hai apne skills ke hisab se online paisa kamane ka. Micro job ka work karke aap ghar par bhaith kaam kar sakte hai.
India me bahut se student aur homeworker micro job sites ka job ghar par bhaith kar Rahe hai. Aur micro job sites platform ko hi apna careers bana chuke hai. Jo website micro job ka job karne ka offer deti hai, Aise website ek best tarika hota hai online paisa kamane ka.
Micro-job ka job karne ke liye aapko bahut jyada time ki jarurat nahi padti hai Bus ek din Me agar aapke pass 2-3 hour hai to aap itne time me bahut se micro job sites Par kaam kar ke online badiya paise kama sakte hai.
Also Read: Internet se Paise kaise Kamaye Full Guide in Hindi
Micro-Job se Online Paisa Kamane Ke Kuch Best Website
Agar aapke Pass koi Talent hai to aap apne uss talent ki madad se paise kama sakte hai dusre logo ke kaam karke.. aese kaam aapko Micro Job Website par aaram se mil jayega.. or jese hi aap kisi ka koi kaam karege aapko uska paise mil jayege..
Top 5 Micro Job Websites
1: Fiverr se Paise Kamaye Kaam karke
Fiverr ek bahut hi purana aur trusted micro-job offer karne wali website hai. Fiverr ek marketplace jaha par aap apne skills ko $5 me sell karke koi bhi online/offline job le sakte hai.
Aap Fiverr par $5 me kuch bhi buy aur sell kar sakte hai. aap fiverr par jiss chiz ka offer logo ko karte hai usko GIG bolte hai. yadi aapke dwara provid kiya gaya koi kaam kisi ko jarurt hai to woh aapke skill ko $5 me buy kar lega phir aapko uska kaam karna padhega aur badle me woh aapko $5 dega.
fiverr internet marketer aur blogger ke liye best place hai kyoki iske bahut se GIGS social media, graphics design, video, writting, advertising, building, backlink, blog, logo design, business cards, seo, copy writting aadi chizo se related hai. Aap in product me se kisi bhi product ka GIGS Buy kar Usko promote kar ke selling ke dwara bahut hi badiya commission kama sakte hai.
Ye sab karne ke liye aapko fiverr par acount banana hoga. simply fiverr par apna profile banao aur apne service ka offer dena start kar do. Ek baar aap apne service ke selling apne customer’s ke responses ke hisab se start kar dege phir aapke customer aapke service ko rating denge.
fiverr apne sellers ke service ke selling ke hisab se leval banata hai. first level seller, 2nd level seller, aur top rated seller. ek baar aap kisi badiye level par pahuch jaye phir uske fiverr apko aur bhi chiz dega selling karne ke liye. jitna jyada aapko fiverr par kaam milega utna hi jyada aap fiverr ke dwara paise kamayege.
Also Read:
- Fiverr Kya hai, Fiverr se paise kaise kamaye in Hindi [Top 5 Tips]
- Fiverr Gig Se Jada Earning Kaise Kare, Important Basic Tips
2: SEOClerks se Paise Kamaye Micro Job karke
SEOClerks ek badiya online micro jobs place hai. Jaha par aap apne product Or service ko kisi bhi price me sell kar sakte hai. Ye website bhi same fiverr ke jaise hi kaam karti hai.
Aapke dwara sell kiye gaye har ek GIG par 20% commission SEOClerks leta hai. Ye ek badiya website hai micro job ke dwara online paisa kamane ka.
Aap SEOClerks marketplace me Article writing, Link Building, Logo designing, Article read-proofing, Blog commenting, Social media aur bhi tarah ke GIG Find Karke online sell kar sakte hai. Aap in sabhi GIGS ko sell karke apne online business ko boost karke ek safal blogger ban sakte hai.
blogger banane ke sath sath aap in GIG ko sell kar ke badiya commision bhi paa skte hai. SEOClerks par apna profile banaye aur apne micro service ka offer fiverr ki tulna me badiya tarike se de. Ek baar aap acchi tarah se SEOClerks par apne service ki selling karne lagege Phir uske baad SEOClerks aapko Badiya visibility dene lagega.
3: GigBucks se Paise Kamaye kaam karke
GigBucks ek asia place hai jaha par aap apna service $5-$50 bucks tak me sell kar sakte hai. dusare micro site ke jaise hi ye bhi internet marketing ke service ko offer karta hai.
Iske sath sath iske aur bhi categories jaise- Advertising, Business, Graphics, Music, Programming, Technology aadi.
Aap in categories me se kisi bhi service ko buy karke online sell kar sakte. jitna jyada aap apne service ko sell karege utna hi badiya commision aur impression Aapka banega.
4: Microlancer par Job karke Paise Kamaye
Microlancer Iss naam ko log bahut hi pasand karte hai, kyoki iss par micro job karna bahut hi Aasan hota hai. Microlancer par aap apne auidence ko bahut hi smart tarike se target kar sakte hai.
Microlancer par aapko dusari site ki tulna me bahut hi professional log milege kyoki bahut se online companies apne service ko Microlancer ke dwara apna kaam karwati hai. yadi aapka skill bahut hi badiya aur professional hai to aap Microlancer ke dwara apne service ko buy and sell karke acche paise kama sakte hai…
5: Zeerk se paise kamaye kaam karke
Yaha par aap apne service ko $2-$100 tak Buy aur sell kar sakte hai. Mera ek friend isko personally 3-4 baar use kiya tha. aur usko iska bahut hi badiya result mila.
Iss website ke service ka price bhi bahut kam hai. Aur sath hi sath iss website ki quality aur service bhi bahut badiya hai. dusare site ki tarah iss site me bhi aapko categories aapke interest ke hisab se milegi. Aap apna koi bhi service le kar mico job start kar sakte hai.
Ab Aapki Bari
Yadi aap micro job ke dwara online paisa kamane ke bare me serious hai To Ye list Apke Liye best option hai Apne product or service ko choose karke buy and sell karne ke liye.
Yadi aap in micro job sites Par pehle se hi Work kar rhe hai to muje aapka kyta expriance raha wo hame comment me bataye. ho sakta hai aaki kisi se ko pad kar koi inspire ho jaye or wo bhi Micro Job karke badiya paise kama sake.
Aapko ye Jankari kesi lagi wo jarur bataye or apne dosto ko bhi Micro Jobs website ke ware me bataye ho sakta hai kisi ka Talent kahi kaam aa jaye. :)
Very Good And Nice & Helpful
bhai koi aise site btao jisse bina investment paise kamaue jaye
sir mere blog post ke undar 3 se jada link ads show nahi ho rahi.. kya karan ho sakta hai
free vala job nhi hai jisme paisa na le
Aapne bahut hi achchha post likha hai.
Plezzzz
Kisi phone ko kese check kru ki 3g hai ya 4g plzzzz help me
Hi Bhai,
My Name is Shivraj
Bhai Mujhe Bhi Online Paise kamane Hain.
Bhai Kya Aap “”Fiverr”” Ki Information puri tarah bata sakte hain.
Bhai Mujhe Computer par “Hindi & English” Typing Aati Hai
Kya Uska Kuch kam Mil sakta hai
Pless Bhai Jald Se Jald batana.
Thank You……,shivraj
Sir m graphic designer hu m yha se kis trh work krke money earn kr skta hu muje kya krna hoga pls details m btaiye
Rohit ji ager kisi bhai k pass koi tecnical knkwleg nhi to wo kis tarah se online websites par paisa earn kar sakta h …kripya. btaye
hello sir mujhe blogging se related ek question puchna tha ki hume apne blog par kaise pata chalta hai ki humne kitne paise kamaye aur isko bank account se kaise withdraw karte hai.
Mere facebook accont block ho geya haai kaysay open ho ga please help
okey..sir video create krne wali site btana…jisme jis site se video create kiya hai uska naam nhi ana chahiye…..
Sir…free video create krne wali site ke bare me btana..maine kuch site per video create kiye but wo watermark show krti hai yani ki jis site se video create kiya hai uska naam show krta hai video ke background me….
bahut badiya article Rohit ji.
Dhanybaad :)
or sir aap se yehi baat krni hogi ya..alag se koi platform bnaya hua hai aapse baat krne ke liye?
agar aapka koi sabal hai to aap comment me bhi puch sakte hai.. facebook Group me bhi puch sakte hai..
Thanks for this information……Main SEO & SMO line se hu….mere liye in me se best work place konsa hoga….?
Fivver sabse best hai.. Baki aap sab tri karke dekhe.. To aapko pata chal jayega ki aapke work ke liye jada client kha mil rahe hai
abhi main ek project per work kr rha hu…us per mujhe aapse kuch SEo & SMO ki information chahiye….
kuch post to mene site par phele se share ki hui hai.. baki agar aapka koi sabal hai to aap puch sakte hai..
nice artical RoHiT…
Maine aapke website banana aur you tube se paise kamane ke bahut se artical padhe hai….
mujhe yeh puchana hai ki ” government job kartey samay website aur YouTube chalane ki permission deti hai kya government”..
plz bataye
Youtube ya website chalane ke liye koi permission lene ki koi jarurat nahi hai.. Aap apne free time me ye kar sakte ho.
Hello rohit bhai mujhe hosting renew karana hai kaise karaye puri detail me bataye hosting hostgator.in se li hai
Aap apne hostgator ke account me login kare.. Wha aapko milega renew ka option.. Cpanel nahi hostgator ke account se hogi renew
sir post ke bech me adds kese lagaye agar ham bidvester se add le rhe he to wordpress me lagana hai bataye pls kese lagega?
Achi information hai. isse kaafi log apni skills ka use kar payenge.
Ji Sahi khaa
Mera blog dusra
language ma ha jo
language advetisement
wapsite(citika, infolink
etc)ma nahe ha…to
keya ma advetisement
wapsite ma hindi ya
english select karka ads
laga sakta hu…koi
porisani to nahe hoge
na?please help
Wo aapki site ko check karege or ja language aapne select ki wo nahi mili to aapka account approve nahi hoga
Mera blog dusra
language ma ha jo
language advetisement
wapsite(citika, infolink
etc)ma nahe ha…to
keya ma advetisement
wapsite ma hindi ya
english select karka ads
laga sakta hu…koi
porisani to nahe hoge
na
Mujha aak blog banana ha…..dusri language ma jo language advetisment(citika,infolink etc) wapsite ma nahe ha….kya ma hindi ya english lanuage set kar ka advetisment wapsite ka ads laga sakta hu..?
jinke paas acchi khasi skills hai wo in kaam ke jariye 1 din me hajaro kama sakta hai. bohot hi acchi jankari di hai aapne rohit ji. thanx
Thanks vivek ji
Bhut hi badiya jankari hai rohitji.
Me hindi me help ki Android app use karta hu lagbhag sabhi articles usi par padta hu is app ki sabse acchi baat hai ki bina internet conection ke bhi ham puri post pad sakte hai. Par usme comment nahi kar pate app me comment ka option nahi hai kya.
Nahi comment ka option nahi hai.. Uske liye Internet connection ki jarurat padti hai.. To aap last me post ko browser me open karke comment kar sakte hai..
what is difference between kewords and long tail kewords ?
Keyword matlab koi sabd jese facebook
Long tail matlab koi lamha sabd ki line.. Jese: facebook kya hai
Sir me payoneer account delete kaise karu?
is link par ja kar kar sakte hai http://www.payoneer.com/CloseAccount.aspx
nice article rohit ji,but micro job se paisa kaman bahut lendi kaam hota hai..??
Nahi aesa nahi hai.. Par ye kaam sirf wo kar sakta hai jiske pass koi skills ho.. Q ki agar wo acha kaam karega jab hi uske pass or kaam aayega..
बहुत ही अच्छी जानकारी है भाई पैसे कमाने की इन तरीको को मई जरूर use करूँगा
Ji bilkul aapko tri jarur karna chahiye
sir aapne hmh.pe android app ka widget sidebar me kese lagaya pls detail me bataye me wordpress use karta hu…
or aapka sidebar finish hone par bhi ruk jata niche nhi jata jabki post bala area full niche jata hai… ye kese kiya aapne?
Usme kuch nahi wo simple image hai jisme mene playstore ki link add ki hui hai. To text widget ki madad se side me add kar rakha hai..
Stick karne ke liye aap plugin use kar sakte hai.. Sidewar ko
Bhai me blogger blog bana liya me soch raha hun ke blog ka full course kaise lo mojhe pehle din blogger ke konse article yad karna chahiye aur dusre din kis ka course karna chahiye aur kitna hour yad karne ke liye nikal na chahiye bro ap mojhe btaye ke pehle pehle blogger ka konsi chiz sikho
Aapka bhut hi badiya sabak hai.. Me iske Upar jarur post likhuga.. Abhi aap apne blog ka bana kar usko setup kare. Badiya design kare..
bahut hi badiya aur useful information di hai rohit ji aapne
Thanks Umesh ji