Hello Friends, Agar aap ye Post Padh rahe hai iska Matlab aapka Facebook par account to jarur hoga or Facebook Page Kya hai or Facebook Group kya hai wo bhi aapko pata hoga. Is Article me me aapko bataoga ki aap kaise Facebook Profile ko Page me Badal sakte hai.
Page Contents
Q Badle Facebook Profile ko Page me
Facebook Profile kya hoti hai wo to aapko pata hoga or uski kuch limitation bhi hoti hai jese aap Facebook Profile me 5000 se jada friends nahi bana sakte.
FB Profile ko Page me badalne ke ye karan ho sakte hai ki aap koi badi hasti hai jisko log follow karna chate hai to wo Facebook par aapko Friends nahi bana sakte 5000 ke baad par aap agar apna Page banate hai to aapko kitni bhi log follow kar sakte hai Aapke Page ko Like karke. Profile ko bhi Follow kar sakte hai, par kuch privacy ki maja se aap Profile nahi chala sakte, jese aap kab online aate ho.
Agar aapka koi Business hai tobhi aapko ye future kaam aa sakta hai, aapke jitne bhi friends hoge wo Profile se Page me badalne par Page Likes me badal jayege, or iss trha aapko starting me hi 5000 likes mil sakte hai Page par agar aap 5000 Friends banane ke baad Page me convert karte hai to.
Ye Bhi Padhe: Facebook Se Paise Kaise Kamaye uske tarike in Hindi
Facebook Profile ko Page me Badalne Par Kya Hoga
- Jitne bhi aapke Friends or Followers hoge wo Page me badalne ke baad Facebook Like me badal jayege. (Prifile me Firends kaise Hide kare uski jankari)
- Aapka Jo Profile ka Username hai wo hi Page ka username rahega. (link hai wo same hi rahegi)
- Jo aapki Profile ka Naam hai wo hi Page ka Naam rahega. (Single Name Profile kaise banaye uski jankari)
- Jo aapki Profile Picture hai wo hi Page ki Picture rahegi.
- Aapne jitni bhi Friends se Chat ki wo aap nahi dekh payege.
- Jitne bhi Profile me Photo upload kiye hai wo page me transfer nahi hoge.
- Aap jitne bhi Group me Join hai un sab se hat jayege.
Agar aap Chate hai ki ye sab naa ho to aap ek kaam kar sakte hai ki ek New Facebook Page Banaye or apne Followers ko kahe ki Page ko like kare or Profile bhi rhene de.
Also Read:
- Facebook Account ko Hack hone se bachaye Fake Apps se [Fb Security Tip]
- Facebook Security: Account Hack Hone Se Kaise Bachaye
Facebook Profile ko Page me Badalne se Phele Kya Kare
Aap apni Profile ko Page me badalne se phele in Steps ko jarur pura kar le.
- Aapki Profile ka Data Download kar lijiye, Q ki Page me convert karne par sab delete ho jayega.
- Aapne jitne bhi Group or Page ke admin hai usme or kisi ko admin bana dijiye.
Ab aap Facebook Profile ko Page me convert karne ke liye teray hai.
Facebook Profile ko Page me Convert karne ke Liye Kya kare
Ab agar aap soch chuke hai ki aapko Apni Facebook Profile ko Page me convert karna hi to chaliye dekh lete hai uski steps.
Important Note: Ek war Facebook Profile ko Page me Convert karne ke baad aap Wapas usko Page ko Profile me Convert nahi kar sakte.
Apne Facebook Account me Login karne ke baad button par click kare
Convert Facebook Profile to Page
Ab aapko Simple Jo Process hai Facebook Page banane ki wo Follow karna hai, Aapse Profile ko Page me Convert karne ke liye aapka Facebook Account ka Password bhi Pucha jayega..
Agar aapko Facebook Profile ko Page me convert karne me koi Problem aa rahi ha ya aapka koi sabal hai to aap comment me puch sakte hai.
Ye Bhi Padhe:
thanku bhai very helpful article…..
sir,if meri facebook id s pehle koi page bna hua ho toh,aur m aab meri facebook profile ko page m convert kru toh kya,mera pehle wala page delete ho jayega
मेरा अकाउंट 30 दिन के लिए ब्लॉक है क्या मैं अपनी फेसबुक प्रोफाइल को पेज में बदल सकता हूँ
Hello Rohit Bhai Maine 1 Baar pehle he profile page main convert kar Rakhi hai Tab mere Fd kam the kya main Dobara se profile page main convert kar sakta hun
bhai sahab bahut hi helpful jankari hai
Main fb profile ko page main convert karta hun to direct bana banaya page open hota hai aur like bike kuchh nhi hote to fir se page delete kar deta hun. Kya reason ho sakta hai.
Rohit bhai kya ham 3 ya 4 facebook page ko merge kar skte hai?
haa, agar wo same name se hai too..
Fb ko group me jaise badle
Bhaai Yeh Batayi Ye ki Me Apne Page Se Kisi B Group Me Kese Type Kru Kafi Page Walo Ko Dekha Hai Wo Log Apne Page Se Hi Group Posto Or Timeline Pe B comm Kr Lete Hai PR Me Apne Page Se Comm Nah Kr Pata Hu Kese Kru Koii Tric Btao Bhaai Please ||•||
Bhai meri 1 bhi profile page me nahi bdl rahi he
Profile photo delete hogi ya all photo delete ho jaygi page me convert karne ke baad