Hello dosto..
I’m Sure aap sabhi Blogging ke baare me jante honge or agar nahi jaante to aap HMH par iske bare me kai Post padh ke apna khud ka Free Blog/Website bana sakte hai.
Ham sabhi jante he ki Blogging Earning or Popularity ka ek bahut accha Source hai jisse ham ghar Bethe bethe lakho logo ki madad bhi kar sakte he or Bahut acche Paise bhi kama sakte hai.
Lekin iske liye hame Blogging me Hard Work karna hota he or Blogging ko Seriously lena hota hai taki ham apne Blog ko bhi Top Blog me shamil kar paye or Blogging me Success ho sake.
Lekin agar hame Blogging me Success hona he or logo ki Help karni he to hame shuru se hi apne Blog ko Perfect or Best banane ki koshish karni hogi. aaj me apko bataunga ki hame Blog/Website banane ke baad kya kya karna hota hai to chaliye Start krte he.
Page Contents
Blog Banane ke Baad kya kya karna hai ?
#1: Design Your Blog
Blog banane ke baad hamara sabse pahla kaam hota he Blog ko acche se design karna agar hamara Blog ka Design accha ho to jo Visitor hamare Blog par aate he vo Attract hote he or dobara visit karte hai. isliye me aapka bata deta hu ki “Blog ko Design kaise karna chahiye“
1: Choose a Template/Theme
Blog ko accha Design karne ke liye ek acche Template ya Theme ka hona bhi jaruri he agar apke paas Budget he to me aapko Advise dunga ki Template/Theme Premium hi kharide or agar Budget nahi he to aap Free Template/Theme Download bhi kar sakte ho. Aap iske liye HMH ki 250+ Blogger Template ki list ki madad le sakte hai.
Blogger ki Template Download karne ki 6 Badiya Website ki jankari yaha di hui hai.. aap inko bhi dekh sakte hai.
2: Customize Your Template
Agar aapne Template/Theme Choose kar liya he to aap use Design kar sakte ho or agar aapke Paas PC nahi he to aap Mobile me EX File Explorer Download kar sakte hai.
10 Android Apps jo har Bloggers ke Mobile me Install Hona Chaiye to agar aapke mobile me nahi hai to abhi install kar lijiye.
3: Add Useful Widgets on Blog
Vaise to me aapko apne Blog par kam Widget lagane ki Advise hi dunga taki Template Fast Loading ho lekin kuch Widget jo Useful hote he unko jarur Add jare jaise ki Social Media Icon jo ki ek jaruri Widget he isse Blog Readers hamse Connect rahenge.
Agar aapko jaanna hai HTML Code ke Widget ko kaise add karte hai Blogger me to uski jankari yaha hai.
4: Menu Add kare
Blog ko pura setup karne ke baad, usme Menu Add karna bhi bhut jarur hai jisme wo sabhi important Links hona jaruri hai jo hamari website ki main links hai..
Aap Menu me jitne bhi Important Page hai wo or Categories ki link add kar sakte hai.. taki users ko jo bhi jankari chahiye ho wo uss section me jakar jankari le sake.
#2: Submit Your Blog on Google
Agar aap Blogging me Success chahte ho to Google se Traffic ana bahut hi jaruri hota he waise to Google hamare Blog Post ko Keyword Milne par khud hi Add kar leta he lekin fir Bhi Google par Blog Submit karna bhut hi jaruri he taki Google ko aap ki Post ki jankari jald hi mil sake. Isliye me aapko Advise dunga ki aap Google Search Console par Blog jarur Submit kare.. or uske baad Apne blog ka Sitemap usme add kare.
Abhi Recently Google ne apni search me kuch update kiya hai, jiski madad se aap google apni post ko or jaldi index kara kar search me la sakte hai. Direct Post ko Google me kaise submit kare uski jankari bhi jarur read kare.
#3: Write SEO full Article
Agar aapko nahi pata ki SEO kya hota hai to me aapko bata deta hu SEO ka matlab hota he “Search Engine Optimization” yani Blog par aise Post likhna jo Google par jyada Search kiye jate ho or apne Post me Hot chal rhe Keywords bhi add kare.
Ye kuch SEO Tip jo har blogger ko pata hona chaiye.
- On-Page SEO Kya hai
- Off-Page SEO Optimization Se Blog Traffic Kaise Badhaye
- SEO Tips And Tricks To Get High Rank Your Blog in Hindi
- Bounce Rate Kya hai, Bounce Rate ko Kam kaise Kiya jaye [SEO Tips]
- Blog Title Post Title ke Baad SEO ke liye
- Seo Friendly Blog Post Likhne ke 5 badiya Tarike
#4: Create Social Media Account or Page
Koi bhi Business ho ya Website ho, agar hame apne users se connected rehna hai to hame unn platforms ka istemal karna hi chahiye jisko wo sabse jyada istemal karte hai.. To aese me Facebook, Twitter, Instagram, LinkedIn, Tiktok, Youtube.. ye sabhi abhi ke time me sabse popular Social Platform hai.. to aap inn sabhi par apne Blog ka account banaye.
- Facebook Page Kaise Banaye
- Twitter Par Account Kaise Banaye
- Instagram se Paise Kaise Kamaye
- Youtube pe channel kaise banaye
- 25+ सामाजिक नेटवर्किंग साइट लिस्ट ओर उनकी जानकारी हिंदी में
Jab hamare Naya blog hota he to Google se jyada traffic nhi aata or ham Blog ko Promote karne ke tarike dhundte he or iske liye Facebook ek accha Source hai. me apko Advise dunga ki Aap apne Blog ka Facebook Page bana le or phir Uspe apne Friend ko invite kare baad me aap jo bhi Post karo usko apne Page par jarur Share karo.
AGar aapne abhi tak Hindi Me Help ka Page like nahi kiya hai to abhi like kare or Hindi Me Help ke Facebook Group ko bhi jarur join kare.
#5: Add Newsletter on Your Blog
apne kai baar Bloggers ko kahte hue suna hoga ki ‘hamara Newsletter jarur Join kare’ jab ham us Newsletter me apne Email dalte he to uske baad us Blog ke Post hamare Email me hi aa jate he aap bhi apne Blog me Feedburner ka Use karke Free Newsletter laga sakte ho or ye bahut jaruri hota he taki agar kisi Visitor ko apka Post pasand aaye to vo Newsletter Join karke Daily Reader ban jaaye..
Email Subscribe Widget Blogger Me Add kare taki aapke visitor aasani se email par subscribe kar paye aapke blog feed ko.
#6: Promote Your Blog
Upar bataye hue sabhi kaamo karne ke baad hame Apne Blog ko bhi Promote karna hota he taki logo ko hamare Naye Blog ke baare me pata chal sake aap iske liye Social Media ka use kar sakte ho or iska sabse accha tarika he Gaust Post. yani kisi Successful Blog par Gaust Post karna.. Aap HMH par bhi Guest Post kar sakta hai. ;)
Blog ko Promote karne ke 50 Tarike yaha share kiye hai, to aap unko read karke wo bhi sikh lijiye, ki kaha kaha se acha Traffic la sakte hai apne Blog par.
To Dost me umeed karta hu ki aapko ye Post jarur pasand aaya hoga or ye aapke liye Useful bhi raha hoga is Post ko Share jarur kare.
Ye ek Guest Post hai, HMH dusri Guest Post Read karne ke liye yaha click kare.
Aapko Ye Post kesi lagi Comment karke batana naa bhule or agar aap ka koi sabal hai to aap wo bhi puch sakte hai.
Happy Blogging!
Thanks you sir
Lgta h bhut din baad hmh per guest post published hui h.
Sir sitemap kya hoti hai
Bahut Achi jankari milti hai apki har post par
Sir footer me Social media ke or Anay options kese Add karte hai
Blogger me
Widget add krke usme html code dalna hota hai
Nice post
Sir main aapke blog par guest post karna chahta hun par usse pehle mujhe aapse kuch pucchna hai toh aapse contact kaise hogi kyunki jo fb link aap ne diya tha wo show nhi kar raha hai
aap ye read kare
aap muje email par sakte hai
Masha Allah Very nice sirsir
Sir mera Alexa rank pahle show hoti thi ab No Alexa Kiyun aati hai bataye plz
Aap alexa ki jada tension naa lo.. unka kuch update chal raha hoga.. main aap apni site ki traffic dekho… alexa me to nahi dikh rahi to kuch time me dikhne lagegi..
bahut hi badiya information di hai
ap mere blog ko check karke bataye ki esame mujhe aur kya changes karana hai
Sir ek baar Mere Blog ka design check kare qki kuch log kah rahe hai ki design accha nahi..
aap menu me or option add kare jisse navigation me aasani ho aapki site par..
bahut hi badhiya information share ki hai aapne,,,
sabbse important blog ka design hota hai, even first visitor design ko dekh kar hi impress hoga than content but as presentation ke liye design bahut important role play krta hai
really helpfull
क्या कोई मेरे ब्लॉग को उत्तम प्रीमयम टेम्पलेट दे कर डिजायन कर सकता है संपर्क करे-8955703028
चार्ज देने में कोई दिक्कत नहीं है
Rohit Bhai jab hum apne blog par aaye hue comment ka jawab deta hu to mera name ki jagah helpgyan likha aata hai.So hum isko change karke apna name kaise add kar sakte hai.
aapki jo profile ID hai aap usme apna naam change kare..
wonderful article sir ji .. helpful for new bloggers and me
Chaliye Guest Post Aapko Regular Update Me Help Kar Rahi hai ,But Aap Ab Khud Bhi Update Raho To Sayad Hmh Phir Us Mukam Par Ja Paye
ji bilkul ravi ji.. ab kosis wahi rahegi.. :)
very helpfularticle for new blogger. thanks
Rohit bhai bhut dher ho gya aapne mere guest post ka jawab nhi diya
aapka email par hi reply karuga. me post ko check karne ke baad.. sorry for delay
dekh ke bataiye or kya karu is website ki
mere is bloger ko search me lana hai kya karu
aap google search console me submit kare.
thoda dekh lijiye na kya kami hai usme plz
http://www.onlinetecguru.com
Rohit Bhai Maine Aapke Email Admit@RohitMewada.com Par Guest Post Send Kiya Hu Plese Aap Apna Mail Jarur Check Kare
me check karke aapko reply karuga..
Bhai Mai aapko guest post ms word me save kar send kar raha hun but 25mb se jaida badi file ho gayi hai bro send nhi ho raha hai kaise send kare bro plz batao
compress kar lo ya http://www.onlinetecguru.com/2017/04/blog-post_11.html post ko padho
Achi post he
nice rohit bhai
Bhadia Information..Thank you Rahit ji