Agar Aapki website hai to aap bhi chate hoge ki aapki website popular ho or jada se jada log aapki site par aaye.. Par kya aapko pata hai ham kisi bhi website ke bare me kaise pata kar sakte hai ki wo site kitni popular hai .. Agar nahi jante to ab jaan jayege.
Website par kitne visitor aa rahe hai wo ham apni site ke liye to Google Analytics ki madad se pata kar sakte hai par agar hame kisi dusre ki site ke bare me ye jaanna ho to ham nahi jan sakte.. Par Alexa Rank or uske data se ham andaja jarur laga sakte hai ki site par kitni traffic hogi or wo site kitni popular hai.
Table of Contents
Alexa kya hai
Alexa ek website hai, jo Internet ki har website ko uski popularty ke hisab se rank deti hai.
Hindi Me Help ki Alexa Rank dekhne ke liye yaha click kare
Apni site ko Alexa me Virify kaise kare
Wese agar apni site ko alexa se verify nahi karte to bhi site ki rank do dikhata hai, par agar ham apni site ko verify kar dete hai to jo data hai wo thoda sahi aa jata hai alexa site par.. jisse hamari site ki rank me bhi faida hota hai.
Website ko Vieify karne ka tarika Alexa se
Is Process me hame jo hamari site hai usme ek code add karna padega alexa ka.. jisse ye verify ho jayega ki wo site hamari hai.
Step 1: Sabse phele Clam karna hai apni website.
[button color=”” size=”” type=”square” target=”blank” link=”http://www.alexa.com/siteowners/claim”]Clam Website Now![/button]
Step 2: Ab jo Page khulega usme apni site ka url dale
- Apni site ka URL Dale
- Continue ki button par click kare
Step 3: Ab hame Alexa me Account open karna hai.
- Email ID or password daal kar login kare ya new account banaye
- Facebook account se bhi login kar sakte hai Alexa me.. Button par click karke.
Step 4: Ab Hame apni site me code add karke verify karna hai ki wo hamari site hai. Second option select kare..
Step 5: Ab jese hi 2 par click karege ek code aa jayega.. jisko hame apni site me add karna hai.
- Jo Code hai usko copy karle.. fir usko apni site ke template me <head> tag ke baad add kare..
- Jab Code ko site me add karde.. uske baad Verify my ID par click kare.. or agar site me code sahi se add ho gaya hoga to site verify ho jayegi.
Blogger me Code kaise add kare:
- Blog ke deshboard me jaye
- Template par jaye
- Edit HTML par click kare
- fir template me <head> search kare
- Ab uske niche apna Alexa ka code dale
- Last me Template ko save karde.
To Friends ab aap ne Alexa me apni site ko verify to kar liye..
Aapne dekha hoga meri site ke bagal me Alexa Rank ka Widget add hai, jisme meri site ki kya rank hai wo aap dekh sakte ho.. to agar aap bhi apni site me widget add karna chate hai to uske ye kuch code..
Alexa Widget kaise Add kare Blog me
Alexa Rank Widget add karne ke liye hame ek HTML ka code hai to add karna hai. To chaliye dekhte hai kaise add hoga.
Sabse Phele to apne blogger ke deshboard me ja kar Layout secttion me jaye fir Widget select karke HTML/Javascript widget select kare or usme apne widget ke code ko daal kar save karde..
AB apni pasand ka Widget code ko copy karke apni site me add kare.
Type 1:
<a href="http://www.alexa.com/siteinfo/hindimehelp.com"><script type="text/javascript" src="https://xslt.alexa.com/site_stats/js/s/a?url=hindimehelp.com"></script></a>
Type 2:
<a href="http://www.alexa.com/siteinfo/hindimehelp.com"><script type="text/javascript" src="https://xslt.alexa.com/site_stats/js/s/b?url=hindimehelp.com"></script></a>
Type 3:
<a href="http://www.alexa.com/siteinfo/hindimehelp.com"><script type="text/javascript" src="https://xslt.alexa.com/site_stats/js/s/c?url=hindimehelp.com"></script></a>
Type 4:
<a href="http://www.alexa.com/siteinfo/hindimehelp.com"><script type="text/javascript" src="https://xslt.alexa.com/site_stats/js/t/a?url=hindimehelp.com"></script></a>
Type 5:
<a href="http://www.alexa.com/siteinfo/hindimehelp.com"><script type="text/javascript" src="https://xslt.alexa.com/site_stats/js/t/b?url=hindimehelp.com"></script></a>
Type 6:
<a href="http://www.alexa.com/siteinfo/hindimehelp.com"><script type="text/javascript" src="https://xslt.alexa.com/site_stats/js/t/c?url=hindimehelp.com"></script></a>
Jitne bhi Code hai usme apni site ka URL edit karna naa bhule.. AGar usme dikkat aa rahi hai to aap ye Widget Generator ki adad se bhi Alexa Rank Widget bana sakte hai.
Widget Generator ko use kaise kare:
- Apne BLog ka Address Dale
- Generate ki button par click kare
- Add to blog par click kare.. fir apna BLog select kare or add karde jis jagha aap widget chate hai waha.
Ye Bhi Pade:
Nice article. Per mujhe ye janna hai Alexa rank button add karne ka koi profit hota hai.
Bhut hi badiya sabal hai.. Sabse Bada to ye Faida hai ki agar aapki site ki rank achi hai to jo visitor aapki site par pheli bar aayega wo aapki rank dekh kar ho samaj jayega ki aapki site kitni popular hai.. Or Isse aapki alexa rank me bhi Faida milega..
bhai aap ne alexa ki achhi tarah se jaankari di hai. mujhe widget bahut achhe lage jin me se ek ko mai apne blog par lagane wala hu.
Ji bilkul.. Or inke kuch faide bhi hai jinko me aage ek post me bataoga..
Good post
But how to improve for best way???Jese aapne kiya hua he aapko Alexa rank best aapne Kaise kiya???
Regular or badiya post hi uska sirf ek raaj hai.. Baki kuch tips hai.. Jinke bareme agli post me bataoga..
Nice Post. Rohit,
par mera question hai
—ek post men kitni bar H1 ya H2 ya H3 ko use kar sakte hai? kya lagatar H2 ya H3 use karna seo ho nuksan pahucha sakta hai ?? is bare men clearify kare.
Kitni par add kar sakte hai aap ye naa dekhe.. Aap dekhe ki jo topic hai Agar uske andar koi poi t hai jinhe aap describe karna chate hai to aap main heading se choti heading de usme.. Bas ye diyaan rakhe.. Or koi problem nahi hai.
Are wah sir aapne ye code generator khud banaya hai ya kisi se design karvaya hai kyunki bahut aacha code generator hai…
Thanks.. Par wo sirf Blogger blog ke liye hai..
bahut din aapka post aaya …!! achha laga
Thanks
wordpress ki site pe koi code kaise lagayenge or ye merea wordpress ki site nahi le raha hai
Text widget me apna html code daal kar save karde..
helo bro… ye article acchha hai..
main aap se thodi help lena chahta hu…
aap meri website par view page sorce dekhkar btaye… maine jab meri website ka view page sorce dekha or bad me jab aapki website ka view page sorce dekha to muje diffrent lga..
mtlab ki main jo post likhta hu usme html code ka use nahi ho rha or har page ki tab title me www. Hindi helper .com aata hai….to please mujse is problem ke bare me bataye… meri website hindi helper .com hai….
ye koi problem nahi hai.. aapki site ka template alag hai bas isliye alag code dikhta hai..
बहुत ही उपयोगी पोस्ट
धन्यवाद sir
rohit bhayi kya isko meta tag add karte time hata dena chahiye ya nhi or ye kis liye hota he plz rohit bro bataiye
Nahi hatane ki koi jarurat nahi hai..
Kya alexa rank ke lia koi pesa dena padega
nahi koi paise nahi dena hota.. ye bilkul free hai.
Meri site check karke batao kya problem. Mughe aur kya karna chahiye
problem to kuch nahi.. bas widget ki location agar sahi se set kardege to or jada acha rahega..
hi Rohit mene aap ko guest post send ki hai pliz ushe pde or jaldi se mujhe reply kre
my E-mail= buldak042@gmail.com
Me aapka email jese hi check karuga aapko mail par reply karuga.. thanks
Rohit bhai jis tarha apne customize widget ka optoin bnaya kiya usi tarha adsense ka ad lagane ka widget bna kar de dakte ho.
Q ki hamne bahut baar ad bna kar html/java me copy kiya par ek baar bhi ads show nhi huwa plz..help kro mera
ads code laga kar aese hi chodna padta hai..phele kuch nahi aata.. par jese hi hamara blog full approve hota hai ads dikhne lagte hai.. agar blog me koi problem hoti hai to bhi ads nahi dikhte..
hey bro adsense pr mere youtube channel ke liye adsense ki site par sign up krne ja raha tha.. adsense ke website pr aaisa likha hai.. (Your phone number and the mailing address associated with your bank account so you can get paid. It’s a must. ZIP code and all .. ) iska matlab kya hai ? 1) kya mera persional number aur email id bank ko attach hona jaruri hai ya phir 2) jis email id par channel create kiya haii ,youtube channel jis number verify kiya hai wo bank ko attach krna hai kya ?reply detail me dena bro ..
message ka matlab to wo hi hai ki bank me bhi attached hona chaiye.. par ye koi jaruri nahi.. agar bank me dusre bhi add hai to bi koi problem nahi aayegi..
hey bro adsense pr sign up krne ja raha tha.. adsense ke website pr aaisa likha hai.. (Your phone number and the mailing address associated with your bank account so you can get paid. It’s a must. ZIP code and all .. ) iska mtlab kya ? 1) mera khudka personal mobile number aur email id bank ko attach hone jaruri hai ? ya phir 2) maine jis email id par youtube channel create kiya hai aur jis number channel verify kiya hai wo number aur email id bank ko attach krna hai kya ? bro jawab detail me dena
Question 1) kya hum blogger.com par he domain name kharid kar add krke apke site ka purana templates jaisa he dikhne wala koi waise he type mein dikhne wala template add kar kar bloging site bana sakte kya ?
haa bilkul.. or kaise kare uski puri janari mene detail me site par di hui hai.
Question 2) sir maine apke site ke comment mein padha tha bogger.com par 100 se jyada post nahi likh sakte to hume use jyada post likhne ke liye webhosting lene padegi kya ? aur uss web hosting blogger.com kharidkar kaise karna hoga
ye aapse kisne kha diya aap 100 se jada post nahi likh sakte.. aap hajaro post likh sakt ehi koi limitation nahi hai..
Bahut hi badiya bataya hai apne alexa rank ke bare me. thanks
skitch, snagit or kuch omline site bhi use karta hu edit karne ke liye..
Sir mujhe YouTube channel air blogging me liye laptop Lena hai .. Kya aap meri madat karenge konsa lu .. Aap konsa use krte ho plz. Sir help me .. Computer se recording karte samay koi video bhi play krta hu to WO ataakta hai .. Browsing mein thodasa thodasa farak aata .. Mujhe apka laptop model. Number batao na .. Aur ek baat sir laptop kharid samay tips PR ek article likho na
mere pass lenovo or sony ka laptop hai… aap koi bhi le bas main uski ram 3 or processor i3 i5 le..
Thank you rohit sir to share this awesome post
bhayi plz ab aap hi par bharosa he plz meri prblm solve kijiye mere first page par sirf 3 ya 4 post dikhayi deti he jabki mene 9 set kar rakhi he mene layout me jakar b set kiya hu he par phir b prblm ho rhi he par agar me jitni post aaj dalunga utni badti jayegi or 9 b ho jayegi par kal post update karte he 3 ya 4 dikhayi deti phir dalu to phir badti jayege yani total 9 nhi rahegi jese kal ki 4 or or ka 5 is trah se total 9 dikhayi de plz meri pblm solve karo bahyi.. pehle sahi dikhayi deti thi older b or new b toatal 9 par agar me second page par jau to puri 9 dikhayi deti he
bhai aap photo editing ke liye kaun sa software use karte ho? plz batayein
Hi Rohitji
Bahot aachi post hai.
Par alexa rank jaisi koi aur popular ranking site hai
To wo bhi bataye
sites to bhut sari hai.. par Alexa sabse popular hai or uski rank hi sabse main mani jati hai..
Sir ye jo Pink box me step aap likhte hai wo kaise karte hai aap
Manish wo mere template me invild option hai uska.. baki ham aese bhi add kar sakt ehai.. CSS code ki madad se.
Hello Sir. Achi jankari dene ke liye dhanyabad. Main aapko batana chahunga ki aapki Website homepage ke title me Hindimemelp aa raha hai. aap sahi karlen
Really Very very Thanks Gaurav ji.. :)
sir aapse ek question hai ki jis tarah aapki site ka naam hindimehelp hai agar mai hindihelp ke naam se blog bana lu to aapko koi problem to nahi hai. please batana jarur kyoki mai jald se jald blog banana chahta hu
agar aapke blog me mere brand name ka use hoga to muje dikkat ho sakti hai baki to dikkat ka koi sabal hi nahi uthta..
rohit sir jaise aapne apne blog mai jo temlete use kiya hai bilkul ye vali mujhe apne blog mah lagani hai ye konsi hai mujhe btaye plz
Hello sir kya aap mujhe bata sakte hai ki jis language ka istemaal apne is post ko likhne me kiya hai ,isi language me agar main article likhu to adsense approve ho jayegi ya nhi,
Ajay agar sahi batao to mera jo adsense account hai wo meri dusri site se approve huaa thaa.. par mene dekha hai bhut se aese blogger bhi hai jo meri trha article dalte hai or wo bhi adsense use kar rahe hai to kisi ko koi dikkat nahi aa rahi hai.. to aap bhi use kar sakte hai.
Sir Aap Ye Step1 , Claim Website Now Esa Button Kese Create Karte He .
wo mere site ke templte me set hai.. aap bhi CSS ki madad se kar sakte hai.
Kitne Dino me Alexa Rank karega, Agr blog naya ho to
Alexa Ranking improve karne ke liye kya karna hoga.
aesa to koi fix nahi hai ki kitne din.. agar achi traffic aane lage to rank bhi jaldi badne lagegi..
sir, Bank verify hone k kitne time bad payment bhejdiye jate hain???
agar aap adsense ka puch rahe hai to adsense har mahine ki 21 tarikh ko payment send karta hai..
Sir meri ek template problem shru se hai wo template wordpress theme jaise hai main uss ko blog par uplpad karna chahta hoon lekin uss ka post main main titel show nhi karta home page par iss liye main ye template upliad ki hai sir aap meri bss itni help kar dijiye template ko repair kar dijiye main usse aapke email par send kar dunga apna email de dijiye plzz mera blog chek v karna mat bhuliye helphindise.blogspot.com orr comment karna to bilkul v na bhulna
Sir mene apni site par 10 din pahle Alexa widget lagaya tha.verify bhi kar liya par NO DATA Show Ho raha hai..kyo
Meri site par 250-300 pageview hote hai
kabhi kabhi thoda time bhi lag jada hai.. or jiski rank jada hoti hai.. usko rank alexa me thodi late update hoti hai.. aap chinta naa kare or regular post kare.. :)
Rohit bhai mera cmment ka jawab kiyu nhi de rhe hai app..maine pucha tha ke jis tarha customize widget option diya h kiya adsense ka ads bhi de sakte ho.q ki maine kitni baar ad copy kar ke html java me paste kiya par ads show nhi ho raha hai…plzz..help me
Sorry.. par thoda jada hi busy chal raha thaa.. ads code add karne ke baad bhi ads nahi dikhte hai.. par jab ham apni site p[ar ads ke code laga dete hai to uske baad fir hamare blog ko ek bar or check kiya jata hai uske baad ads automatic dikhne lagte hai.. par agar hamare blog me koi dikkat hoti hai to ads nahi dikte.
आपसे सम्पर्क कैसे होगा
aap facebook par kare .. facebook group bhi hai HMH ka
sir mere blog ko 4 mahine ho gaye hai or post bhi 60+ hain but daily pageviews 100+ se jyaada nahin ho rahe hai mera blog dekhkar bataye naa sir ki kya kami hai
60+ post se kuch nahi hota.. main hai aesi post ki jaye jiski logo ko jarurat ho.. or detail me badiya se badiya post karne se hi traffic hamare blog par aayegi..
vijai outo partash stadiam gat ki bagal se morena
Hlo sir mujhe paise kamane h ghar per kese
mene inke bare me kuch post ki hai aap unko pade or samajne ki kosis kare kaise paise kamaye ja sakte hai.. jese ye post
Sir aapna mera blog check kar lo…blog name..
Publichelps.blogspot.
com
Or maine jo ads lagaya hai…wo ads VODAFONE ke Subject wale me post me ad lagaya hai…aap dekh lijye…ada ke jagah pura space ban gaya h or kuch bhi sow nhi ho raha….
hello sir .. mein apke site ke bare mein feedback dena chahuga .. waise apke site india ki sabse badhiya site hai .. sir apne jo ye naya template dala hai.. template badhiya hai magar site pr iss mein ek he problem hai ki hum mobile se comment nahi kar paa rahe .. apke pichle templates ye problem nahi aata tha .. site ke liye comment bohot important cheej hai .. jab koi sawaal post krta hai to uska jawab dekhne ke liye site pr phir se wapis aata hai ..iss se humara aur apka achaa naata ban jaan hai .. hume bhi lagta hai chalo koi to hai hume sahi guide krne wala.. kam se kam 40% readers mobile se comment krte hai so plz iss baat pr jaroor soche .. Your Wellwisher/ Daily reader ## Nilesh Verma
Sir mere pichle COMMENT ka jawb to apne diya lenovo or sony laptop ka model number nahi bataya .. apke 2 no bhi model number batao na plz help sir mein specification dekh kr koi 1 salect kar lunga .. mera pc ka Processor : AMD Athlon ™ 64X2 Dual Core processor 4400+ 2.30 GHz 2) System :32 bit 3) Ram : 3 GB ( 2.87 USABLE )
very good….thanks for share widgets codes……
Rohit Sir muje.. Kuch Baate Karni Hai… Muje Ye Nahi Samajh Aa Raha Hai ke Ads Kaise Lagaye… Main Abhi 18 seal ka Nhi Hua Hun.. Toh Main Adsense ko Apply Nahi Kar Sakta Kya Karu… ke main Apne Blog Se Paise KAMAYE…. PLEASE help me
aapki post bahut hi helpful hai lekin ek baat puchni thi, aapne upar comments me bta diya ki yeh bilkul free hai lekin mai aapse yeh jaana chahta hu ki jo alexa ke plans hai uska kya benefit hai.
unki madad se ham apni site ka or jada data dekh sakte hai.. or free me sirf rank dekh sakte hai..
Rohit sir mene sab kar liyaa jesaa aapne bataayaa
Site claim kar verify bhi ki
Aur widget bhi lagaayaa par
Site me widget to aa gayaa lekin rank no data aur link bhi no dataa aa rahaa h
aapki site new hai isliye no data bata raha hai.. aap kuch din wait kare..
Sir kya Alexa ka widget apni site par add karne ke liye bhi charge dena hota hai
nahi koi charge nahi hai.. ye free hai.
Maine Ye Post Puri Padi Hai Iss Post Se Mujhe JankRi mili hai Thank You Bro
Welcome
Ye post badiya hai Mujhe Ye Jankari Acchi Lagi thanks you
Nice information..
Aap Ki har Ek post bohot hi kam Ki hoti Hai.mene aapki site se bohot kuch sikha Hai.
THanks
Bhaiya Aap Jo aap Jo Code Generater diye ho wo sirf computer me hi Chalta Hai Kya??
haa.. computer me.. mobile me sabhi browesr usko support nahi karte.. aap jo code hai wo bhi use kar sakte hai
rohit ji mere blog ke daily page views 1800-2000 he. lekin phir bhi mere blog ki alexa rank 23 lakhs ke karib he jabki mere friend ke blog ke daily page views 700-1000 ke karib he aur unki alexa rank 90 thousand ke karib he. iska kya reason ho sakta he and how can i improve my blog rank?
Sir
Mai apane blog Ka copyright karana chahata hu ,kaise hota hai
Aur kya isake liye 1year Ka pura payment karana hota hai
Ya per post Ka .
Aur kitana rupaya lagata hai .
You have done a great job by your website HindiMeHelp. This is a new experiment of Hinglish or Roman Hindi which is very relevant today. And you seems to be pioneer in this field. Keep it up and best wishes.
Thanks Surjeet
Sar menejar blogger me site banaaa he mene site me 14 post likha he dayli visitors 100 se 277 tak pahos gaya he aelexa me register kiya aapki site se cod leke layout me submit kiya fir bhi aelexa rank nahi dikh raha no data aese
Likh ke aata he renk keliye kamse kam kitne visitors sahiye muje bataye
Sar mane blogger se site banaya he mere site me 14 aartical likha he mera aelexa cod nahi dikh raha he mene aelexa me register kardiya he mere site me visitors 100 se upe aata he day Li 277 tak pahos gaya he Fir bhi mera aelexa cod nahi dika raha meri help kariye haldi
Sar mane blogger se site banaya he mere site me 14 aartical likha he mera aelexa cod nahi dikh raha he mene aelexa me register kardiya he mere site me visitors 100 se uper aata he dayli 277 tak pahos gaya he Fir bhi mera aelexa cod nahi dika raha meri help kariye
visitor nahi dikhata alexa me.. sirf ek andaja lagaya jata hai… to aap uski tension mat lijiye..
Mobile se
Bhut hie acchi information hain sir isse meri website ki popularty badhegi
agar aap regular kaam karege site par to jarur badegi..
sir, meri website wordpress me h usme yah cod save nhi ho rha h usme koi save option nhi h
text widget me add karna hai
wordpress site me html cod kse save kre plese help me
aap widgets me text widget me add kar sakte hai.. ya fir theame ki main file me..
sir mene. alexa rank apne blog me add ker liya or usko verify bhi kiya he per mere blog me no data dhikha raha plzz help me
agar aapka blog new hai to uska data dikhane me thoda time lagega.. wait kare kuch din
Guest post karne ke liye images bhi send karna padta hai kya.
ji haa.. par agar aapki post qulity ki hai to bina image ke bhi accpect kar liya jayega.. :)
Aap ek baar mera blog ko dekhiye kaisa hai kahi pe kuch mistake toh nahi hua hai agar kuch galat hai toh bataiye me usse sudharne ki puri koshish karunga….
aapke blog me koi kami to nahi hai.. par jo widget hai uska arrangement thoda sahi nahi hai..
Rohit
Alexa Rank Ke bare me apne bahut acha bataya hai. Kya Alexa Rank ka Google ke taffic se koi relation hai ?. Isse Site traffic badhta hai ? Ya Sirf Alexa Traffic rank ko check karne ke liye hota hai. Thanks
alexa rank se sirf ham site ki popularty ka andaja laga sakte hai.. baki search engine me is rank se kopi fark nahi padta..
bro clam krna mtlb …???
account banana
Its really great post…
Ye codes dusare websites parn nhi hai………….
Sir iss blog par mila mujhe………
may 2016 se freea site alexa clam nahi ho rha
Aare alexa free hi hai.. Aap uska plan q le rahe ho
apne jo alexa clam link diya hai wo fir se chak kro Claiming has been retired – May 2016 aa rha hai
Me check karke bataoga aapko
Jo clam karne ka option tha ab alexa ne band kar diya.. Par rank aap fir bhi check kar sakte ho.. Or widget add kar sakte ho
Bro claiming retired bta rha h.me claim nhi kr pa rha hu alexa ke liye iska solution btaiye pls
Rohit bhai mujhe app hack karna hai kese karu
Thanks to providing tips for create alexa widget. These tips are really good and easy to understand.
Thanks again
hi rohit bhai mai aapke buhat se article padhe hai aap buhat achchhe post karte hai aur iss tarah aap samne na hote huyè bhi hajaeo logo ki madad karte hai…
rohit bhai mera bhi ek sawaal hai aapse meri youtube pe apni channel banayi hai aapke kafi article padhe ke baad jankari lete huye maine channel banayi hai aur jaha par bhi jarurat padi aapka article padh kar madad mil gayi lekin mujhe lagta hai mere kahi koi galti ho rahi kahi mujhse koi chuk ho rahi iske karan na to dhang se subscriber aa pa rahe na he viewers pls aap check kar ke batao ki mujhe kya karna chaiye aur kya galti uske kaise sudharu…thnxxx
Update : Alexa ne site claiming feature may 2016 se band kar diya hai..
See here..
Brother awesome Jankari diya hai aur sath me acche alexa widget bhi diya nice aartical bro
bahut badiya post hai …apka bahut babhut dhanyawad
Robot Ji ab Alexa paid ho Chula hi to kya look tarika hi Jesse hum free me Alexa widget apne blog me laga sake.
Mere blog ko check market batao ko template sahi hi kya
sir meri site tublr pr hai kya me us pr ye alwxa lga sakta hu.
Vahut aachi jankari hai Aexla rank ke bare me kya Aexla rank badh bhi sakti hai jese man le ki meri Aexla ranking 220000 hai kuch dino bad wo 222222 ho jati hai yesa kyu hota hai please explain kare.
Claim now karne pe ye aa raha hai.
Claiming has been retired – May 2016.
Kamaal ki jankari dee hai aapne.
Useful information.
Alexa me Submit Krne pe sir ye Plan Kharidna Jaruri hai kya
uski koi jarurat nahi hai.. or ab verify nahi hota..
Rohit. ,Ab alexa varify key liye plan to Lena hi padega. , free claim to retired ho gya ,,but Koi trick.hai aapkey paas jishey plan bhi na ley. alexa verify bhi ho jaye
aap trial le lijiye.. wese verify karne ki jarurat nahi padti hai.. rank ase bhi track karta hai..
very good bhai
Sir mene ek new blog open kiya he aur usme alexa Wight lagaya he lekin show bahi horaha he.
Aapne url Sahi nahi dala hoga.. Uske aalawa or koi Karan nahi ho sakta..
sir aapse ek question hai ki jis tarah aapki site ka naam helphindi.in hai agar mai hindihelp ke naam se blog bana lu to aapko koi problem to nahi hai. please batana jarur kyoki mai jald se jald blog banana chahta hu
thanks for sharing
Sir hamra site ko alexa rank me submit karne jarahe hai par waha Paid ka windows open ho raha hai to alexa rank me kitne paise dale to hamari site submit hogi
Bhai Submit karne ki koi jarurat nahi hai.. paise dekar.. automatic hi ho jata hai ab..
Nice job keep it up work sir request he ke aap hamari site ko promote Kare isse hamari site ki Alexa rank thodi achchi ho jaye please sir approved kar do 👍
Iske liye aap Guest Post kar sakte hai.
Sir m aapki website pr guest post krna chahta hu
Please bta do ki kse krni h and jruri details
yaha submit kare
Nice post! It is too good. Your way of explaining things in Hindi is too good. Some bloggers just rush up to their page with useless data. But you provided good information.
Sir Alexa rank traffic pr depend krti h ya traffic alexa rank pr.
Kush tips dedo Sir taki ise improve kiya ja ske
dono hi alag alag chije hai.. or dono ka ek dusre se koi samband nahi.. kisi ka kisi par fark nahi padta.
Aap Ki har Ek post bohot hi kam Ki hoti Hai.
Nice information..
Sir sach me solid post iska kuch doubts tha clear ho gaya.
sir isse hamare seo me effect pd sakta hai